Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ye Saray Nazaray Ishq Ke Hain

Irfan Haider

2025Urdu
2025UrduImam HussainMuharram
Ye Saray Nazaray Ishq Ke Hain is a 2025 Noha recited by Irfan Haider, celebrating the enduring traditions of Azadari and devotion to Imam Hussain (AS). The poetry describes Muharram processions, mourning gatherings, Alam, Zuljanah, the Arbaeen walk, and the passing of Hussaini traditions from one generation to the next. Read Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original
Urdu
Album
Ye Saray Nazaray Ishq Ke Hain

Lyrics

Ye Saray Nazaray Ishq Ke Hain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ye Saray Nazaray Ishq Ke Hain

Ye Saray Nazaray Ishq Ke Hain

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Ye Saray Nazaray Ishq Ke Hain

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain, Hussain, Hussain
Woh Jis Ko Saare Hussaini Salaam Kehte Hain
Use Hussain Alayhis Salaam Kehte Hain

Hussain Hussain Maula Hussain, Ya Hussain Maula ×2

Maah-e-Aza Ka Chaand Nikla, Aa Gayi Ghar Mein Fatima Zahra
Libaas Kaale Pehen Ke Saare Hussain Wale Farsh-e-Aza Pe Aaye
Aa Ke Parcham Kareinge Matam, Dilon Mein Har Dam
Zinda Rahega Yeh Gham
Dekhna Ek Din Ban Kar Hussaini Bolega Yeh Zamana, Bolega Yeh Zamana

Yeh Saare Nazare Ishq Ke Hain ×2
Hum Hon Na Hon Hamesha Hota Rahega, Ya Hussain

Chaudah Sadiyan Beet Chuki Hain, Gham Yeh Koi Bhi Na Bhoola
Dekho Hamare Ghar Mein Saja Hai Babul Hawaij Ka Jhoola
Jhoole Se Behnein Lipti Hui Hain, Le Kar Haathon Mein Kurta

Dekho Julooson Mein Jo Hussaini Bandhe Hue Hain Sar Pe Kafan
Aashiq-e-Maula Hain Yeh Saare, Karbobala Hai In Ka Watan
Dil Mein Udaasi, Aankhon Mein Aansu, Honthon Pe Maula Maula

Rahe Salamat Ishq-e-Hussaini, Rahe Salamat Saare Hussaini ×2

Hussain Ya Hussain Maula, Hussain Ya Hussain Maula

Qasim Ki Mehndi, Akbar Ka Sehra, Taboot-o-Zuljanah
Woh Sheh-Nasheen, Patke, Alam Ke, Tasbeeh-e-Fatima
Chadar Koi Jo Baante To Yaad Aati Hain Bibiyan
Aur Chhoti Chhoti Shehzadiyon Mein Bantti Hain Baliyan
Saath Alam Ke Mashk-e-Sakina Dekhi To Dil Yeh Bola

Aath Muharram Hum Karte Hain Hazri Mere Maula Ghazi Ki
Bachchon Ko Apne Saqqa Bana Kar Sab Ko Pilate Hain Paani
Ghazi Ka Sadqa Milta Hai Us Ko Aata Hai Jo Bhi Pyasa

Paon Dabata Hai Koi Khadim, Koi Hatata Hai Patthar
Karbobala Ki Simt Najaf Se Jaate Hain Jab Zair Chal Kar
Ek Sada Hai Sab Ke Labon Par, Labbaik Ya Hussaina

Ashura Ki Shab Saare Hussaini Ghar Ghar Charaghan Karte Hain
Aur Azakhanon Mein Ja Kar Rote Hain, Noha Parhte Hain
Karte Hain Matam, Sun Kar Azaan-e-Akbar Subh-e-Ashura

Aag Pe Jalna, Khoon Bahana
Baap Se Hum Ne Seekha Hai
Rokega Hum Ko Kya Yeh Zamana
Matam Hamara Wirsa Hai
Jab Tak Badan Mein Khoon Hai Baqi, Maula Ko Denge Pursa

Zeeshan Aur Irfan-e-Aza Hum Khalq Hue Is Gham Ke Liye
Maa Ne Hamari Pala Hai Hum Ko Majlis Aur Matam Ke Liye
Ungli Pakar Kar Majlis Mein La Kar, Maa Ne Bataya Beta

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Ye Saray Nazaray Ishq Ke Hain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.