Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ye Asr e Ashoor Hai

Irfan Haider

2024Urdu
2024UrduImam HussainMuharram
Ye Asr e Ashoor Hai is a 2024 Noha recited by Irfan Haider, with poetry credited to Zeeshan Abidi in the official video. It portrays the final moments of Ashura in Karbala, when Imam Hussain (AS) stands alone after the martyrdom of his companions and family, surrounded by the army of oppression. Read Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2024
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Ye Asr e Ashoor Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ye Asr e Ashoor Hai

Ye Asr e Ashoor Hai

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Ye Asr e Ashoor Hai

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain

Maare Gaye Sab Ansar-e-Hussaini
Furaat Behti Hai
Bala Ki Garmi Hai
Hai Mutma'in Teen Din Ka Pyasa
Khayam-e-Sadat Se Musalsal
Sada Yeh Aati Hai

Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain

Hai Karbala Mein Hussain Tanha
Khuda Khair Kare, Khuda Khair Kare

Hai Karbala Mein Hussain Tanha
Yeh Asr-e-Ashoor Hai
Yeh Asr-e-Ashoor Hai

Takte Hain Soo-e-Aasman
Jaari Hai Kuchh Wird-e-Zaban
Chehre Pe Asghar Ka Lahu
Ab Mar Chuke Shah-e-Zaman
Hai Dhoop Sar Par, Nahi Hai Saaya ×2
Yeh Asr-e-Ashoor Hai
Yeh Asr-e-Ashoor Hai

Abbas Ke Baazu Kate
Qasim Ke Tukre Ho Gaye
Akbar Ka Seena Chhir Gaya
Aun-o-Muhammad Na Rahe
Kise Pukare Ghareeb-e-Zahra ×2
Yeh Asr-e-Ashoor Hai
Yeh Asr-e-Ashoor Hai

Teer-o-Tabar Ke Waar Se
Maara Kabhi Talwar Se
Haaye Qayamat Ho Gayi
Jab Woh Gira Rahwaar Se
Na Zeen Par, Na Zameen Par Tha
Nabi Ka Shehzada
Na Zeen Par, Na Zameen Par Tha
Yeh Asr-e-Ashoor Hai
Yeh Asr-e-Ashoor Hai

Laashein Utha Kar Thak Chuka
Laakhon Ne Hai Ghera Hua
Hain Khoon Ke Pyase Sabhi
Aa Kar Bacha Lo Fatima
Lahu Mein Tar Hai Tumhara Beta ×2
Yeh Asr-e-Ashoor Hai
Yeh Asr-e-Ashoor Hai

Jab Shimr Ka Khanjar Chala
Kat Kar Gira Sookha Gala
Tha Bhai Aur Humsheer Mein
Sattar Qadam Ka Fasla
Na Jaane Zainab Ne Kaise Dekha ×2
Yeh Asr-e-Ashoor Hai
Yeh Asr-e-Ashoor Hai

Yeh Arsh Se Aayi Sada
Raazi Hoon Main Aa Laut Aa
Talwar Rakh Kar Niyam Mein
Palte Jo Shah-e-Karbala
Ali Ke Bete Ko Sab Ne Maara ×2
Yeh Asr-e-Ashoor Hai
Yeh Asr-e-Ashoor Hai

Zeeshan-o-Irfan-e-Aza
Royi Zameen-e-Karbala
Jab Shimr Sar Shabbir Ka
Khaimon Ki Janib Le Chala
Tarap Raha Tha Zameen Pe Laasha ×2
Yeh Asr-e-Ashoor Hai
Yeh Asr-e-Ashoor Hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.