Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Sakina Yaad Ayegi

Irfan Haider

2021Urdu
2021UrduImam Zainul AbidinMuharram
Sakina Yaad Ayegi is a 2021 Urdu noha recited by Irfan Haider and written by Zeeshan Abidi. It portrays Imam Zainul Abidin's grief while leaving the prison of Shaam, where his little sister Sakina has been laid to rest. Through memories of her thirst, captivity and longing for her father, the recurring refrain expresses how deeply her absence will be felt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original
Urdu

Lyrics

Sakina Yaad Ayegi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Sakina Yaad Ayegi

Sakina Yaad Ayegi

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Sakina Yaad Ayegi

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sakina... Sakina... Sakina...

Qafila Shaam Ke Zindan Se Jab
Nikla Riha Ho Kar
Kaha Sajjad Ne Ro Kar
Kaha Sajjad Ne Ro Kar
Ke Jab Jab Saans Aayegi
Sakina Yaad Aayegi...

Sakina Yaad Aayegi (×2)
Sakina Yaad Aayegi (×2)

Na De Paaya Use Paani
Yehi Bas Ek Udaasi Hai
Sakina Kal Bhi Pyasi Thi
Sakina Ab Bhi Pyasi Hai
Ke Jab Sughra Madine Mein
Mujhe Paani Pilayegi
Sakina Yaad Aayegi...

Sakina Yaad Aayegi (×4)

Hamesha Shimr Ke Dar Se
Mere Hamraah Rehti Thi
Tamacha Jab Bhi Lagta Tha
Mujhe Aawaz Deti Thi
Museebat Shaam Ki Haaye (×2)
Mujhe Jab Bhi Rulayegi
Sakina Yaad Aayegi...

Sakina Yaad Aayegi (×4)

Shab-e-Ghurbat Mein Asghar Ki
Use Jab Yaad Aati Thi
Jale Jhoole Ke Paas Aa Kar
Woh Ashkon Ko Bahati Thi
Ali Asghar Ke Jhoole Par (×2)
Nazar Jab Meri Jayegi
Sakina Yaad Aayegi...

Sakina Yaad Aayegi (×4)

Yeh Ro Kar Shaam Walon Se
Kaha Sajjad Ne Sun Lo
Kabhi Na Maarna Durre
Kisi Masoom Bachchi Ko
Ke Jab Nanhe Se Haathon Se (×2)
Woh Gaalon Ko Chhupayegi
Sakina Yaad Aayegi...

Sakina Yaad Aayegi (×4)

Padar Ko Yaad Karti Thi
Andheri Qaid Mein Reh Ke
Sakina Mar Gayi Aakhir
Lipat Kar Baap Ke Sar Se
Kahani Jab Yeh Sughra Ko (×2)
Koi Bibi Sunayegi
Sakina Yaad Aayegi...

Sakina Yaad Aayegi (×4)

Bandhe The Haath Bachchi Ke
Gale Mein Thi Rasan, Haaye
Bari Mazloom Thi
Pardes Mein Meri Behen, Haaye
Museebat Chaar-Sala Ki (×2)
Mujhe Har Pal Rulayegi
Sakina Yaad Aayegi...

Sakina Yaad Aayegi (×4)

Ijazat Dengi Shehzadi
Woh Din Bhi Jald Aayega
Bulawa Aayega
Zeeshan-o-Irfan-e-Aza Sab Ka
Yateema Ke Haram Par Jab (×2)
Nazar Zaaer Ki Jayegi
Sakina Yaad Aayegi...

Sakina Yaad Aayegi (×4)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Zainul Abidin, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.