Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Qaid Se Chhoot Ke Jab Sayyid-e-Sajjad Aaye

Dilgeer Lucknavi

Urdu
UrduImam HussainArbaeen
Qaid Se Chhoot Ke Jab Sayyid-e-Sajjad Aaye is a classical Urdu marsiya by Lala Chunnu Lal Dilgeer (Dilgeer Lucknowi), describing Imam Zainul Abidin's (AS) return to Karbala after captivity and the mourning of the Ahlulbayt at Imam Hussain's (AS) grave. Traditionally recited during Arbaeen and Chehlum processions in Amroha, this extended 62-stanza edition recounts the hardships of captivity, the martyrs of Karbala, and the sorrowful farewell before the family's return to Madina. Read its Roman Urdu, Urdu and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Arbaeen
Original
Urdu

Lyrics

Qaid Se Chhoot Ke Jab Sayyid-e-Sajjad Aaye Lyrics

WA

Qaid Se Chhoot Ke Jab Sayyid-e-Sajjad Aaye
Aur Sab Ahl-e-Haram Ba-Dil-e-Nashad Aaye
Baap Aur Bhai Jo Beemar Ko Waan Yaad Aaye
Qabr Par Baap Ki Karte Hue Faryad Aaye
Aye Padar Tool Kheencha Ab Meri Beemari Ko
Uth Ke Chhati Se Laga Lijiye Aazari Ko

Aap Se Apni Aseeri Ke Kahoon Kya Halaat
Kheencha Kheencha Main Phira Aye Padar-e-Nek Sifaat
Qaidkhane Mein Ajab Taur Ke Dekhe Aafaat
Aap Se Chhut Ke Na Main Chain Se Soya Ek Raat
Aankh Gar Halat-e-Ghash Mein Kabhi Khul Jaati Thi
Kaan Mein Nala-e-Zahra Ki Sada Aati Thi

Is Qadar Parda Nasheenon Ko Satate The Shareer
Koi Roti Thi To Dikhlate The Neza Be-Peer
Nala Kar Sakta Na Tha Koi Siwaye Zanjeer
Safar-e-Shaam Ki Eeza Ki Karoon Kya Taqreer
Ek To Tauq Se Gardan Ko Garanbari Thi
Doosre Paon Ki Zanjeer Bahut Bhaari Thi

Paon Ka Gar Main Laeenon Ko Dikhata Tha Waram
Khanda-Zan Hote The Joon Zakhm Lab-e-Ahl-e-Sitam
Lahu Talwon Se Tapakta Tha Jo Mere Paiham
Har Qadam Laale Ka Takhta Tha Mere Zer-e-Qadam
Jhatke Zanjeer Ke Jab Fauj-e-Laeen Deti Thi
Natawani Mera Tab Haath Pakar Leti Thi

Tewar Aaye The Har Ek Gaam Pe Aye Baba Imam
Baid Ki Shakl Se Larzan Tha Mera Sab Andaam
Ragare Deti Thi Hatheli Ko Jo Oonton Ki Zamaam
Soorat-e-Panja-e-Marjaan Tha Mera Haath Tamaam
Kya Kahoon Haal Tha Jaisa Ke Meri Gardan Ka
Goya Tha Tauq Gale Mein Mere Sattar Man Ka

Ba-Khuda Maine Sabhi Zulm Sahe Be-Ikraah
Aap Ka Sar To Har Ek Jaan Pe Tha Mere Hamraah
Paon Mera Na Diga Raah-e-Raza Se Wallah
Beriyan Paon Ki Sabit-Qadami Ki Hain Gawaah
Sakhtiyan Kheenchein Na Munh Se Kiye Naale Maine
Kaante Talwon Mein Chubhe Par Na Nikale Maine

Maan Phuphi Meri Jo Har Ek Hai Maryam Saani
Balwe Mein Dekhta Tha Un Ki Main Sar-Uryaani
Paali Hui Aap Ki Godi Ki Sakina Jaani
Oont Par Kehti Chali Jaati Thi Paani Paani
Shimr Jab Ghurkiyan Us Laadli Ko Deta Tha
Mera Bas Kuchh Nahi Chalta Tha Main Ro Deta Tha

Gar Kisi Shehar Ke Nazdeek Pahunchte The Hum
Log Us Basti Ke Aate The Tamashe Ko Baham
Poochhte The Jo Laeenon Se Woh Ahwaal-e-Haram
Kehte The Meri Taraf Kar Ke Ishara Azlam
Is Ka Kunba Yeh Charha Oonton Pe Nange Sar Hai
Yeh Phuphi Is Ki Hai Yeh Amma Hai Yeh Khwahar Hai

Marqad-e-Shah Pe Karte The Yeh Abid Taqreer
Gir Pari Aa Ke Jo Us Qabr Pe Zainab Dilgeer
Ro Ke Chillane Lagi Aye Mere Bhai Shabbir
Qaid Se Chhut Ke Aayi Hai Tumhari Hamsheer
Pyar Se Haal To Kuchh Apni Behen Ka Poochho
Sakhtiyan Qaid Ki Aur Ranj-e-Rasan Ka Poochho

Apni Maa-Jaai Se Poochho To Safar Ki Haalat
Kufe Mein Shaam Mein Dekh Aayi Hai Kya Kya Aafat
Yaad Thi Mujh Ko Wasiyyat Jo Tumhari Hazrat
Mujh Ko Jo Ranj Hua Us Ko Main Samjhi Raahat
Bin Mere Aap Ko Kis Shakl Se Chain Aaya Hai
Dhyan Mera Kabhi Aye Bhai Hussain Aaya Hai

Zindagi Mein To Bahut Thi Main Tumhari Pyari
Tum Kiya Karte The Kya Kya Meri Khatir-Daari
Apni Maa-Jaai Se Kya Tum Ko Hai Kuchh Bezaari
Aaj Sunte Nahi Kyun Meri Fughaan-o-Zaari
Uth Ke Marqad Se Mera Haal To Dekho Bhai
Apne Matam Mein Khule Baal To Dekho Bhai

Paayinti Qabr Ki Karne Lagi Bano Yeh Bayan
Mere Waris Mere Sahab Main Tumhein Dhoondhoon Kahan
Dar-Ba-Dar Shaam Ki Basti Mein Phiri Sar-Uryaan
Aap Ke Baad Phansi Qaid Mein Aye Shah-e-Zaman
Bahr-e-Khidmat Na Mujhe Paas Bulaya Tum Ne
Apni Is Laundi Ko Aisa Hi Bhulaya Tum Ne

Ghar Mein Baad Aap Ke Jab Fauj-e-Mukhalif Aayi
Kar Ke Munh Tab Soo-e-Maqtal Main Bahut Chillayi
Ya Hussain Ibn-e-Ali Lutti Hai Yeh Dukh Paayi
Behna Bhi Aap Ki Kehti Rahi Bhai Bhai
Na To Hazrat Mujhe Aafat Se Chhurane Aaye
Aur Na Akbar Meri Chadar Ko Bachane Aaye

Marqad-e-Shah Pe Yeh Keh Rahi Thi Bano Khari
Qabr-e-Abbas Pe Thi Bano-e-Abbas Pari
Apna Sar Peetti Thi Gham Se Har Ek Chhoti Bari
Jaari Har Chashm Se Thi Muttasil Ashkon Ki Lari
Ek Taraf Peet Ke Sab Ahl-e-Haram Rote The
Abid Ek Simt Ko Gardan Kiye Kham Rote The

Thaam Kar Dil Ko Yeh Karne Lage Sajjad Kalaam
Marqad-e-Shah Pe Istada Hue Hazrat Ke Khayaam
Sar-Bano Ne Suna Jab Ke Yeh Irshad-e-Imam
Aadh-Jala Khaima-e-Sarwar Kiya Istada Tamaam
Dakhil-e-Khaima Hue Jab Ke Haram Sarwar Ke
Bain Sab Karne Lage Khaak Se Munh Bhar Bhar Ke

Khaali Khaime Mein Jo Thi Masnad-e-Shabbir Bichhi
Beech Mein Khoon Se Aaloooda Dhari Thi Pagri
Aur Dhari Thi Sipar-e-Hamza-o-Shamsheer-e-Ali
Khaali Masnad Pe Nazar Par Gayi Jab Zainab Ki
Le Ke Masnad Ki Balayein Yeh Pukari Zainab
Bhai Ki Lahu Bhari Pagri Ke Waari Zainab

Jalwa-Gar Hote The Masnad Pe Jo Bhai Shabbir
Aur Mujre Ke Liye Jaati Thi Un Ki Hamsheer
Sadqe Main Un Ke Meri Karte The Kya Kya Tauqeer
Aage Masnad Ke Bitha Lete The Shah-e-Dilgeer
Mere Baithe Hue Aaraam Agar Karte The
Badle Takiye Ke Mere Zaanu Pe Sar Dharte The

Khaime Mein Kar Rahi Thin Zainab-e-Mahroom Yeh Bayan
Deorhi Par Sayyid-e-Sajjad The Mashghool-e-Fughaan
The Kai Qaum Ke Maqtal Se Jo Nazdeek Makaan
Aaye The Khidmat-e-Sajjad Mein Sab Khurd-o-Kalaan
Kitne Shabbir Ki Mazloomi Ka Gham Khaate The
Kitne Baithe Hue Sajjad Ko Samjhate The

Dekha Abid Ne Hui Rone Se Fursat Jo Zara
Ek Jawaan Bail Liye Saamne Shashdar Hai Khara
Misl-e-Aaina Hai Soorat Ki Taraf Dekh Raha
Us Ko Sajjad Ne Nazdeek Bula Kar Poochha
Kaun Hai Tu Jo Yeh Hairat Ki Farawaani Hai
Aye Jawaan Tujh Ko Yeh Kis Amr Mein Hairani Hai

Arz Ki Us Ne Main Rakhta Hoon Ziraat Is Jaa
Qaum-e-Aulad-e-Asad Se Hoon Main Ek Abd-e-Khuda
Pasban Apni Ziraat Ka Hoon Har Subh-o-Masaa
Maine Is Arse Mein Dekhe Hain Ajaaib Kya Kya
Thori Si Fauj Se Pehle To Yeh Sarwar Aaya
Us Se Phir Larne Ko Ek Shaam Ka Lashkar Aaya

Ab Bayan Kya Karoon Kaisi Thi Woh Thori Si Sipah
Khoob Hi Fauj Thi Aur Khoob Tha Us Fauj Ka Shah
Kuchh Jawaan Aur Kai Tifl The Us Ke Hamraah
Jin Ki Tasveer Se Hoti Thi Khajal Soorat-e-Maah
Garche Us Fauj Mein Aswaar Bahut Thore The
Boo-e-Gul The Woh Jawaan Misl-e-Saba Ghore The

Donon Un Faujon Se Har Chand Na Tha Kuchh Mujhe Kaam
Par Main Yeh Kehta Tha Ab Dekhiye Kya Ho Anjaam
Phir Ke Charon Taraf Un Faujon Ke Dekha Jo Tamaam
Us Taraf Kufr Ki Boo Thi Yahan Boo-e-Islam
Jo Bahut Fauj Thi Dekhi Woh Bahut Na-Haq Par
Aur Yeh Kam Fauj Nazar Aayi Sarapa Haq Par

Qissa Kotah Kai Roz Yeh Thori Si Sipah
Rahi Us Fauj Ke Narghe Mein Ke Yoon Haale Mein Maah
Kisi Ko Pahuncha Baham Khana Na Paani Wallah
Ghore Bhi Taapte The Fauj Mein Be-Daana-o-Kaah
Larke Khaime Se Nikal Paani Bas Takte The
Jeebhein Sookhi Thin Pe Darya Pe Na Jaa Sakte The

Tha Jo Nazdeek Bahut Meri Ziraat Ka Makaan
Saaf Jaati Thi Wahan Tishna-Dahanon Ki Fughaan
Larkiyan Hoti Thin Jab Pyaas Ke Maare Naalaan
Bibiyan Kehti Thin Aye Pyariyo Yahan Paani Kahan
Un Ki Faryad Se Go Chhati Phati Jaati Thi
Par Main Hairaan Tha Kuchh Mujh Ko Na Ban Aati Thi

Shab-e-Ashura Muharram Ko Ajab Tha Kohraam
Thori Si Fauj Yeh Mashghool Thi Taa'at Mein Tamaam
Subh Ko Musta'id-e-Jang Hue Sab Saakin-e-Shaam
Main Khara Kehta Tha Ab Dekhiye Kya Ho Anjaam
Naubat-e-Neza-o-Shamsheer Phir Aayi Ran Mein
Saamne Mere Lagi Hone Laraai Ran Mein

Is Taraf Ke Main Jawaanon Ka Karoon Wasf Ab Kya
Jo Gaya Larne Ko Phir Khaime Mein Woh Jeeta Na Phira
Saamna Jang Mein Ek Ek Ne Lashkar Ka Kiya
Kushton Ke Pushte Kiye Khoon Ka Bahaya Darya
Jo Piyada Hua Markab Se Sawaron Se Lara
Aur To Kya Kahoon Ek Ek Hazaron Se Lara

Shah Ki Fauj Ka Jab Kat Gaya Lashkar Saara
Fauj-e-Zalim Mein Dobara Hua Phir Naqqara
Hakim-e-Fauj-e-Mukhalif Ne Yeh Naara Maara
Larne Ab Aayega Us Shah Ka Har Ek Pyara
Aye Shuja'an-e-Arab Ab Yeh Himmat Ka Waqt
Tab Shuja'at Ka Na Tha Ab Hai Shuja'at Ka Waqt

Itne Mein Khaime Se Larne Ko Gaye Do Gul-Roo
Chaand Se Mukhron Pe Haale Se Pare The Gesu
Dekh Kar Un Ko Yeh Kehne Lage Aapas Mein Adu
Bhanje Us Shah-e-Bekas Ke Hain Donon Khush-Khoo
Jab Woh Nikle The Bahut Bibiyan Ghabraayi Thin
Khaime Ki Deorhi Talak Saath Chali Aayi Thin

Aa Ke Un Donon Ne Ki Aisi Hi Ran Mein Talwar
Kitne Paidal Kiye Majrooh Kiye Kitne Sawar
Khoob Pyaase The Kai Din Se Woh Donon Dildar
Sookhe Honthon Pe Zaban Pherte The Woh Har Baar
Zakhm Khate The Magar Peeth Nahi Dete The
Barchhiyan Khate The Aur Naam-e-Ali Lete The

Jab Ke Maare Gaye Maidan Mein Woh Gul-Andaam
Maine Dekha Tha Ke Sab Kaamp Gaye Shah Ke Khayaam
Un Ke Baad Aur Kai Ran Mein Jawaan Aaye Kaam
Dulha Ek Khaime Se Nikla Tha Ke Joon Maah-e-Tamaam
Phool Ki Shakl Se Murjhaya Tha Chehra Us Ka
Abhi Munh Par Se Barhaya Na Tha Sehra Us Ka

Bibiyan Kehti Thin Har Chand Ke Maidan Ko Na Jaa
Aasteen Pakre Thin Dulha Ki Koi Patka
Madar Us Dulha Ki Kehti Thi Ba-Faryad-o-Buka
Bibiyo Jaane Do Bete Ko Mere Bahr-e-Khuda
Hai Yeh Maidan-e-Shahadat Ise Ji Khone Do
Surkh-Roo Haider-o-Zahra Se Mujhe Hone Do

Umr Mein Garche Woh Dulha Tha Nihayat Hi Sagheer
Kheenchi Par Us Ne Dileron Ki Tarah Se Shamsheer
Lara Is Darja Hi Maidan Mein Woh Maah-e-Muneer
Sum Se Ghoron Ke Jo Pamaal Hua Waqt-e-Aakhir
Zalzala Lashkar-e-Zalim Mein Phir Ek Baar Aaya
Thori Us Fauj Ka Jab Ran Mein Alamdar Aaya

Us Alamdar Ki Tareef Mein Qaasir Hai Zaban
Chashm-e-Gardoon Ne Nahi Dekha Koi Aisa Jawaan
Haalat-e-Ghazab Mein Ho Jaata Tha Joon Sher-e-Zayaan
Dam-e-Sabit-Qadami Hota Tha Joon Koh-e-Garaan
Noor Khursheed Sa Tha Aariz-e-Noorani Par
Chaand Si Shakl Thi Aur Khaal Tha Peshani Par

Jab Ke Maidan Mein Aaya Woh Alamdar-e-Jari
Ghora Tha Raan-e-Mubarak Ke Tale Shakl-e-Pari
Sookhi Si Mashk Thi Ik Zeen Ke Harne Pe Dhari
Nahr Mein Jaate Hi Bas Pehle To Woh Mashk Bhari
Phir Use Gher Liya Aa Ke Jafakaron Ne
Teer-Baraan Kiye Tanha Pe Kamandaron Ne

Mashk Teeron Se Bachata Raha Kitna Woh Jawaan
Par Hazaron Ke Nishanon Se Woh Bachti Thi Kahan
Mashk Par Teer Laga Ho Gaya Paani Bhi Rawaan
Haath Tak Kat Gaye Us Bazu-e-Sarwar Ke Wahan
Jab Gira Ghore Se Yoon Naam Liya Bhai Ka
Dekhiye Aa Ke Naqsha Meri Saqqai Ka

Jab Alamdar Ki Us Shah Ne Sada Sun Paayi
Aaye Jangah Mein Kehte Hue Bhai Bhai
Is Tarah Laash Pe Roya Woh Dam-e-Tanhai
Us Ke Rone Se Wahan Mujh Ko Bhi Riqqat Aayi
Phir Main Samjha Ke Ab Yeh Reh Gaya Tanha Baqi
Jab Alamdar Hua Qatl Raha Kya Baqi

Le Ke Woh Mashk-o-Alam Shah Gaye Soo-e-Khayaam
Nikla Phir Khaime Se Ek Aur Jawaan Gul-Andaam
Main To Aagaah Na Tha Kehte The Sab Saakin-e-Shaam
Yeh Jawaan Soorat-e-Ahmad Se Mushabeh Hai Tamaam
Ahl-e-Keen Kehte The Yeh Lakht-e-Jigar Hai Shah Ka
Aur Sab Mar Chuke Baqi Yeh Pisar Hai Shah Ka

Us Ki Shamsheer-Zani Ki Karoon Kis Munh Se Sana
Aati Thi Arsh Se Aawaz Yehi Salle Ala
Us Akela Pe To Phir Ho Gaya Ik Hashr Bapa
Khoob Talwar Se Maare Bahut Aur Khoob Lara
Apne Seene Pe Jab Us Maah Ne Sinaan Khayi Thi
Bibi Ek Khaima-e-Aqdas Se Nikal Aayi Thi

Jab Ke Maara Gaya Jangah Mein Woh Ghairat-e-Maah
Tan-e-Tanha Raha Maidan-e-Sitam Mein Woh Shah
Phir To Us Shah Pe Hua Nargha-e-Fauj-e-Gumraah
Kya Bayan Us Ki Shuja'at Karoon Allah Allah
Us Akela Pe To Thi Teeron Ki Bauchhaar Kabhi
Teer Parte The Kabhi Parti Thi Talwar Kabhi

Tegh Par Tegh Lagate The Use Ahl-e-Jafa
Zikr-e-Maabood Mein Masroof Tha Woh Abd-e-Khuda
Nagahaan Khaima-e-Ismat Mein Utha Shor-e-Buka
Sun Kar Faryad Ka Ghul Shah Woh Khaime Mein Gaya
Kya Kahoon Kis Tarah Khaime Se Woh Bahar Aaya
Ek Bachcha Liye Haathon Pe Woh Sarwar Aaya

Saamne Fauj-e-Mukhalif Ke Yeh Phir Ki Taqreer
Shiddat-e-Pyaas Se Marta Hai Mera Tifl-e-Sagheer
Keh Raha Tha Yeh Laeenon Se Abhi Woh Dilgeer
Kisi Bedard Ne Us Bachche Ke Maara Ek Teer
Kuchh Ba-Juz Shukr Zaban Par Na Woh Bekas Laaya
Khod Kar Nanhi Lahad Bachche Ko Phir Dafnaya

Dafn-e-Masoom Se Farigh Na Hua Tha Woh Shah
Yak-Ba-Yak Toot Para Us Pe Giroh-e-Gumraah
Bekasi Us Shah-e-Dilgeer Ki Main Kya Kahoon Aah
Us Ki Mazloomi Pe Main Roya Tha Khaliq Hai Gawaah
Bhook Mein Pyaas Mein Jaanbazi Ka Dam Bharta Tha
Waar Woh Khata Tha Aur Zikr-e-Khuda Karta Tha

Jism Par Lagta Tha Us Shah Ke Jis Dam Harba
Ek Bibi Ki Main Aawaz Khara Sunta Tha
Baap Se Apne Woh Kehti Thi Ba-Faryad-o-Buka
Maarte Hain Mere Farzand Ko Dekho Baba
Kaisa Bekas Hai Tumhara Yeh Nawasa Hazrat
Qatl Hota Hai Kai Roz Ka Pyaasa Hazrat

Roobaroo Mere Woh Shah Khaak Pe Ghore Se Gira
Roobaroo Mere Woh Tha Sajda-e-Aakhir Mein Jhuka
Roobaroo Mere Kata Tegh Se Us Shah Ka Gala
Roobaroo Mere Woh Sar Nok Pe Neze Ki Charha
Teeragi Roz Mein Us Waqt Ba-Shiddat Aayi
Main Yeh Samjha Ke Zamane Mein Qayamat Aayi

Dhans Pari Khaima-e-Namoos Mein Fauj-e-Kuffar
Aag Sab Parda-Sarachaon Mein Laga Di Yakbaar
Wa Ali Haaye Muhammad Ki Thi Har Simt Pukaar
Haaye Us Dam Ki Museebat Main Karoon Kya Izhaar
Aag Se Jal Ke Qanaatein To Wahan Girti Thin
Bibiyan Godiyon Mein Bachche Liye Phirti Thin

Aag Jis Waqt Laga Di To Na Guzri Kuchh Der
Jal Ke Woh Khaima-Sara Ho Gaya Sab Raakh Ka Dher
Ek Beemar Jo Baqi Tha Bacha Zaleel Se Sher
Dohri Zanjeeron Mein Jakra Tha Use Soorat-e-Sher
Kya Bataoon Tumhein Ab Shakl Us Aazari Ki
Thi Tumhari Si Sab Shakl Us Aazari Ki

Nange Sar Oonton Pe Bithlane Lage Sab Ko Shareer
Janib-e-Shaam Rawana Lage Hone Be-Peer
Kya Kahoon Raah Se Maqtal Ke Jo Guzre The Aseer
Ek Larki Ka Ajab Haal Tha Us Dam Taghyeer
Ma'dai Kehte The Chup Reh To Na Chup Rehti Thi
Muttasil Haaye Pidar Haaye Pidar Kehti Thi

Mujh Ko Hairat To Bari Yeh Hai Ke Tha Kaun Woh Shah
Kyun Use Qatl Kiya Aisa Tha Kya Us Ka Gunah
Sun Ke Yeh Abid-e-Muztar Ka Hua Haal Tabah
Us Se Is Taur Se Kehne Lage Ba-Nala-o-Aah
Woh Jo Barbad Hua Ran Mein Woh Ghar Tha Mera
Jis Ka Sar Kat Gaya Woh Shah Pidar Tha Mera

Naam Se Kya Mere Baba Ke Nahi Tujh Ko Khabar
Naam Us Shah Ka Likkha Hai Dar-e-Jannat Par
Naam Shabbir Hai Us Shah Ka Par Hai Be-Sar
Beta Khatoon-e-Qayamat Ka Hai Ahmad Ka Jigar
Zalimon Ne Use Aafat Mein Phansa Kar Maara
Khat Hazaron Hi Likhe Ghar Se Bula Kar Maara

Sajde Mein Pusht Pe Nana Ki Woh Jab Hota Sawar
Tool Sajde Ko Nabi Dete Ba-Hukm-e-Ghaffar
Aur Gala Choomte The Us Ka Rasool-e-Mukhtar
Lahmuka Lahmi Bhi Farmate The Shah-e-Abrar
Kehte The Ahmad-e-Mukhtar Mere Noor-ul-Ain
Ahl-e-Jannat Ke Hain Sardar Hasan Aur Hussain

Jhoola Jibreel Jhulate The Kabhi Us Shah Ka
Khilate Aida Se Bheja Tha Rabb-e-Huda
Madah Qur'an Mein Farmata Hai Us Shah Ki Khuda
Haif Us Shah Pe Be-Deenon Ne Ki Aisi Jafa
Us Ko Kandhe Pe Charhate The Rasool-e-Arabi
Oont Bante The Kabhi Us Ke Liye Khatm-e-Nabi

Saath Baba Ke Hain Jo Jo Ke Yahan Qatl Hue
Satrah Shakhs The Un Sab Mein Yagane Mere
Baqi The Aur Jo Ansar-e-Shah-e-Bekas Ke
Fil-Haqeeqat Woh Azeezon Se Na Mutlaq Kam The
Gham Se Har Ek Dilawar Ke Payambar Roye
Dhanpa Munh Fatima Ne Khuld Mein Haider Roye

Kya Yaganon Ka Karoon Haal Ba-Tafseel Bayan
Girya Hota Hai Bayan Karne Se Qaasir Hai Zaban
Ran Mein Maare Gaye Abbas Ke Do Bhai Jawaan
Kat Gaye Muslim-e-Mazloom Ke Do Rahat-e-Jaan
Tukre Tukre Hue Maidan Mein Farzand-e-Aqeel
Donon Maare Gaye Maidan Mein Farzand-e-Aqeel

Gesuwon Wale Jo Do Tifl Hue Hain Be-Sar
Haaye Woh Donon The Meri Phuphi Zainab Ke Pisar
Un Ki Tareef Baja Hai Woh Na Larte Kyun Kar
Jin Ki Nani Hain Batool Aur Hai Zainab Madar
Pote The Hazrat-e-Jafar Ke Woh Pyaase Donon
Aur The Haider-e-Safdar Ke Nawase Donon

Sehra Bandhe Hue Sar Kat Gaya Jis Dulha Ka
Woh Mera Bhai Chachera Tha Hasan Ka Beta
Doosra Waisa Zamane Mein Na Hoga Dulha
Raat Ko Byaah Hua Subh Ko Woh Qatl Hua
Gham Mein Us Dulha Ke Jab Us Ki Bani Roti Thi
Mere Khaime Mein Ajab Seena-Zani Hoti Thi

Jis Ki Talwar Shuja'an-e-Arab Ne Maani
Woh Alamdar Tha Shabbir Ka Jafar Saani
Pyaar Karta Tha Bahut Us Ko Nabi Ka Jaani
Shah Ki Beti Ke Liye Lene Gaya Tha Paani
Aashiq-e-Zaar Woh Baba Se Siwa Tha Mera
Naam Abbas Tha Us Ka Woh Chacha Tha Mera

Jis Ko Sab Kehte The Hum Soorat-e-Mahboob-e-Ilah
Tha Mera Bhai Haqeeqi Woh Jawaan Ghairat-e-Maah
Kha Ke Neza Woh Gira Ghore Se Jab Nagah
Kaamp Utha Arsh Bhi Us Dard Se Roye The Shah
Baal Khole Hue Jo Bibi Nikal Aayi Thi
Phuphi Zainab Meri Shabbir Ki Maa-Jaai Thi

Shah Ke Haathon Pe Jo Ik Tifl Hua Tha Be-Jaan
Haal Par Roye The Jis Tifl Ke Sab Peer-o-Jawaan
Woh Mera Bhai Tha Chhota Ali Asghar Nadaan
Maan Ka Us Bachche Ki Kya Haal Karoon Tujh Se Bayan
Dekh Ke Us Ke Shalukon Ko Woh Jaan Khoti Thi
Khaali Gahware Pe Sar Apna Dhare Roti Thi

Haal Shabbir Ka Khursheed Se Hai Raushan-Tar
Jis Tarah Halq Pe Us Pyaase Ke Phera Khanjar
Mujh Ko To Hosh Na Tha Tap Se Dam-e-Qatl-e-Pidar
Par Suna Hai Woh Zaban Pherta Tha Honthon Par
Phuphi Kehti Hain Jab Us Shah Pe Chhuri Chalti Thi
Rooh Zahra Ki Wahan Haath Khare Malti Thi

Ran Mein Jab Maara Gaya Tha Mera Baba Shabbir
Khaime Mein Tap Se Mera Haal Tha Us Dam Taghyeer
Khaima-e-Aal-e-Muhammad Mein Dar Aaye The Shareer
Bahuein Aur Betiyan Zahra Ki Hui Thin Sab Aseer
Gham Se Honthon Pe Dam Aaya Tha Mujh Aazari Ka
Haal Kya Tujh Se Kahoon Apni Giraftari Ka

Dar-Ba-Dar Shaam Mein Aada Ne Phiraya Hum Ko
Beri Paon Mein Pari Tauq Pehnaya Hum Ko
Keh Nahi Sakte Jo Kuchh Ranj Dikhaya Hum Ko
Qaid-e-Zalim Se Khuda Ne Hai Chhuraya Hum Ko
Sadqe Is Khaak Pe Hone Ke Liye Aaya Hoon
Qabr Par Baap Ki Rone Ke Liye Aaya Hoon

Ro-Ro Dahqaan Se Kiya Jab Ke Yeh Abid Ne Bayan
Aisa Woh Roya Ke Baqi Na Rahi Tab-o-Tawaan
Qabr-e-Shah Par Rahe Ik Roz To Sab Girya-Kunaan
Doosre Roz Hue Wahan Se Madine Ko Rawaan
Aage Dilgeer Ab Is Dard Ke Halaat Na Keh
Zainab-o-Abid-o-Sughra Ki Mulaqat Na Keh

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Arbaeen
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.