Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Shaam Haye Shaam

Mir Hasan Mir

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Shaam Haye Shaam is a 2017 Noha recited by Mir Hasan Mir. The lament voices the anguish of Bibi Zainab (s.a.) as the captive family of Imam Hussain (a.s.) is taken towards Shaam, recalling the loss of her veil, the binding of her hands, and the hardship of facing the court and hostile crowds.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Zameen e Karbala Walay

Lyrics

Shaam Haye Shaam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Shaam Haye Shaam

Shaam Haye Shaam

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Shaam Haye Shaam

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain ×4
Shaam ka bazaar kuja, Abid-e-beemar kuja ×2
Zainab-e-dilgeer kuja, majma-e-aghyaar kuja
Haye Shaam, haye Shaam, haye Shaam ×2

Teri ummat ke zewar pehen kar ×2
Mere Nana chali hoon main Shaam
Shaam, haye Shaam ×3

Main deti kafan tujh ko bhaiya
Gar sar pe rida mere hoti
Gar hote khule haath mere
Tere zakhmon ko haathon se dhoti
Pa-baand-e-rasan, sar-barehna ×2
Dekho bhaiya chali hoon main Shaam
Shaam, haye Shaam

Jis Zainab ko tum ne baradar
Kabhi nakhre utha kar na dekha
Haath rassi se mere bandhe hain
Aur sar par nahin mere parda
Kaise Kufe mein jaungi Ghazi ×2
Jab balwe mein aayega naam
Shaam, haye Shaam

Jaise darbaar paas aa raha hai
Mera dil doobta ja raha hai
Main to ghar mein bhi kam bolti thi
Bhai tum ko to sab kuch pata hai
Kis tarah se karegi bata de ×2
Ek sharabi se Zainab kalaam
Shaam, haye Shaam

Dil yeh kehta hai ro ro ke bhaiya
Kaash Abbas maujood hota
Kaat deta woh us ki zabaan ko
Koi baaghi agar mujh ko kehta
Dekhti phir main kis tarah leta ×2
Koi Zainab ka majme mein naam
Shaam, haye Shaam

Keh rahe hain yeh hans hans ke Shaami
Aane wale hain darbaar baaghi
Jis ne ajdaad maare hamare
Aa rahi hai yahan us ki beti
Khaulata paani phenko chhaton se ×2
Pattharon ka karo intezaam
Shaam, haye Shaam

Haye Shaam, haye Shaam, haye Shaam ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Zameen e Karbala Walay

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.