Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Shaam Jana Hai

Irfan Haider

2025Urdu
2025UrduMuharram
Shaam Jana Hai is a 2025 Noha recited by Irfan Haider, written by Zeeshan Abidi. It is a heartfelt appeal to Hazrat Abbas (AS) for the opportunity to visit the sacred shrines of Bibi Zainab (SA) and Bibi Sakina (SA) in Shaam, remembering their suffering and captivity after Karbala. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original
Urdu
Album
Sham Jana Hai

Lyrics

Shaam Jana Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Shaam Jana Hai

Shaam Jana Hai

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Shaam Jana Hai

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shaam Jaana Hai
Labbaik Ya Zainab ×4
Ya Sayyida Ya Abal Fazl Abbas ×3

Saqqa-e-Sakina, Ae Saakin-e-Madina ×2

Har Hussaini Dil Ki Tum Ho Aas Ya Hazrat Abbas
Mojiza Koi Dikha Do, Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do
Maula Abbas ×3
Tum Ko Sakina Ka Wasta
Shaam Jaana Hai ×4
Saqqa-e-Sakina, Ae Saakin-e-Madina

Ho Gayi, Ho Gayi, Dekho Phir Ek Baar Akeli Zainab
Yaad Aati Hai Azadaron Ko Bibi Zainab
Aap Ko Chadar-e-Zainab Ki Qasam Hai Maula
Band Hai Bibi Ka Darbar Yeh Gham Hai Maula
Ab Na Shehzadi Ke Gumbad Pe Alam Hai Maula
Woh Alam Phir Se Saja Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Shaam Jab Karbala Hote Hue Jaaunga
Aap Ki Qabr Se Mashkiza Mein Bhar Laaunga
Turbat-e-Baala-e-Sakina Pe Kahunga Bibi
Maula Abbas Ne Bheja Hai Tumhein Yeh Paani
Ab Talak Shaam Ke Zindan Mein Hai Jo Pyasi
Us Bhatiji Se Mila Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Phir Sakina Ke Roze Pe Girya Karein
Chahte Hain Ke Hum Munh Ka Pursa Karein
Dil Tarapta Hai Hum Ko Bata Deejiye
Shaam Jab Yaad Aaye To Hum Kya Karein
Zakhmi Kaanon Ka Hai Aap Ko Wasta
Maula Abbas, Maula Abbas

Phir Se Ek Baar Halab Ja Ke Ziyarat Kar Lein
Shah Ka Sar Jahan Rakha Tha Woh Patthar Choomein
Ab Bhi Aati Hai Jahan Maula Ke Khoon Ki Khushboo
Halqa-e-Matam-e-Shabbir Bana Kar Har Soo
Is Tarah Noha Parhein Aur Bahayein Aansu ×2
Tum Humein Aa Ke Dua Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Jab Mujhe, Jab Mujhe Shaam Ke Bazaar Ki Yaad Aati Hai
Maula Abbas Meri Jaan Nikal Jaati Hai
Aap Ki Behnein Jahan Laayi Gayi Be-Chadar
Phenki Sadqe Ki Khajoorein Kabhi Maare Patthar
Haath Rehta Tha Sakina Ka Jahan Chehre Par
Tum Woh Bazaar Dikha Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Amma Fizza Ki Lahad Dekh Loon Aur Sheereen Ka Ghar
Maula Phir Shaam Ka Darbar Bhi Dekhun Ja Kar
Hans Ke Zalim Ne Jahan Naam Liya Zainab Ka
Aur Kaneezi Mein Sakina Ko Jahan Maanga Gaya
Khoon Rote Rahe Sajjad Jahan Par Tanha
Izn Zainab Se Dila Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Kijiye, Kijiye Hazrat Abbas Alamdar Madad
Dekhein Zainab Ka Haram Aur Sakina Ki Lahad
Hai Yeh Zeeshan Aur Irfan-e-Aza Ka Waada
Shaam Jis Roz Bhi Dono Ka Bulawa Hoga
Bibiyan Ke Liye Hum Apne Watan Se Wallah
Le Ke Jayenge Rida Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Sham Jana Hai

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.