Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Shiyon Ke Sardaar Hussain Alwida

Dr Sadiq Abbas Tabatabai

Urdu
UrduImam Hussain
Shiyon Ke Sardaar Hussain Alwida is a historic Urdu noha attributed to Akhtar in the Bayaaz of Old Nohay. This recording is credited to Dr Sadiq Abbas Tabatabai. Read the Roman Urdu text with Urdu script and an aligned English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Poet
Akhtar
Original
Urdu

Lyrics

Shiyon Ke Sardaar Hussain Alwida Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Shiyon Ke Sardaar Hussain Alwida

Shiyon Ke Sardaar Hussain Alwida

Dr Sadiq Abbas Tabatabai

YouTube loads when you open Listen.

Shiyon Ke Sardaar Hussain Alwida

Dr Sadiq Abbas Tabatabai

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shio'n ke Sardaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Hussain Alwida

Taziyekhano'n se ab, hote hain rukhsat Imam
Dil pe hai ranjo taa'b, hote hain rukhsat Imam
Akhri matam hai aaj, hote hain rukhsat Imam

Kah lo azadaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Husain Alwida

They yeh Sakina ke bayn, haye Chacha al-atash
Aaye ga kyunkar se chayn, haye Chacha al-atash
Khemein mein hai shor o shain, haye Chacha al-atash

Sheh ke Alamdar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtar, Husain Alwida

Naher pe shaane kate, aah Alamdaare Shah
Paani na pahoncha sakey, aah Alamdaare Shah
Bachchey bhi pyase rahe, aah Alamdaare Shah

Fauj ke Sardar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Hussain Alwida

Matami saf uth gayi, khatm Moharram hua
Koi na raunaq rahi, khatm Moharram hua
Poori na hasrat hui, khatm Moharram hua

Roein azadaar, Hussain Alwida
Deen k Mukhtaar, Hussain Alwida

Kha ke sina mar gaya, Shah ka woh Kadiyal Jawaa'n
Reti pe tadpa kiya, Sheh ka woh kadiyal Jawaa'n
Pani na jisko mila, Sheh ka woh kadiyal Jawaa'n

Rukhsate Didaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Hussain Alwida

Mar gaye Shahe Huda, daswein Moharram ko aah
Qatl hue aqraba, daswein Moharram ko aah
Koi na baaqi raha, daswein Moharram ko aah
Aye mere Ghamkhwar, Hussain Alwida
Deen k Mukhtaar, Hussain Alwida

Kahte hain Shia tamaam, haye Hussain Alwida
Tashna labo tashna kaam, haye Hussain Alwida
Aye mere Shahe Anaam, haye Hussain Alwida

Bekaso lachaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaa,r Hussain Alwida

Shah ki na khidmat hui, Kahti thi Akthar* yahi
Haye meri kismat buri, Kahti thi Akthar* yahi
Zaayar na ab tak bani, Kahti thi Akthar* yahi

Kahti hai nadaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Hussain Alwida

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Poet
Akhtar
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Zainab
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.