Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Teri Ummat Ne Mere Dar Ko Jalaya Baba

Mir Hasan Mir

2016Urdu
2016UrduAyyam-e-Fatimiyah
Teri Ummat Ne Mere Dar Ko Jalaya Baba is a Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry attributed to Mohsin Jaffri. A lament in which Sayyida Fatima Zahra addresses her father about the burning of her door and suffering of her family. Explore the Roman Urdu lyrics, Urdu text, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Teri Ummat Ne Mere Dar Ko Jalaya Baba Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Teri Ummat Ne Mere Dar Ko Jalaya Baba

Teri Ummat Ne Mere Dar Ko Jalaya Baba

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Teri Ummat Ne Mere Dar Ko Jalaya Baba

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Baba, haaye Baba
Subbat alayya masa'ibu law annaha
Subbat alal ayyami sirna layaliya
Haaye Baba, haaye Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×3
Phir woh jalta hua dar ×2 mujh pe giraaya Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×2

Raakh thi, shole the, sehme hue bachche ya dhuaan
Mere aangan mein tha ek Shaam-e-Ghareebaan ka samaan
Dar hata kar mujhe Fizza ne uthaaya Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×2

Haaye laut kar aayi to chehra bhi mera zakhmi tha
Meri Zainab ko meri peshi ka pehla nauha
Mere baalon ki safedi ne sunaaya Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×2

Haaye le chale qaidi bana kar jo Ali ko dushman
Maine chhora nahin Haider ki aba ka daaman
Taaziyānon ne magar mujhse chhuraaya Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×3

Haaye baith kar parhti hoon mushkil se namaaz-e-shab bhi
Phir bhi aawaaz ki khilqat ki dua bhooli nahin
Jab bhi zakhmi hue haathon ko uthaaya Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×3

Zakhmi haalat mein bhi dehleez se baahar aayi
Aur Aliyyun Waliyyullah bacha kar laayi
Ahd jo maine kiya tha woh nibhaaya Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×3

Kaun sa dar hai jahaan aap ki beti na gayi
Baat sunna to kuja, yun hui izzat meri
Koi darwaaze se baahar nahin aaya Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×2

Khud yeh dekha hai tere shehr ki deewaaron ne
Aisi ghurbat thi ke haathon mein sitamgaron ne
Rassiyaan baandh ke Haider ko phiraaya Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×2

Haaye jis jagah aap ne ruk ruk ke ijaazat maangi
Wahaan gustaakh Musalmaanon ne baiat maangi
Koi shole to koi lakriyaan laaya Baba
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×2

Arsh aur farsh pe Mohsin hua kohraam bapa
Jis ghari ro ke wilayat ki shaheeda ne kaha
Haaye, mujhko hans hans ke zamaane ne rulaaya Baba ×2
Teri ummat ne mere dar ko jalaaya Baba ×2

Haaye Baba
Haaye Baba, haaye Baba ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.