Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Thi Yeh Zainab Ki Sada Kaisa Zamana Aa Gaya

Aalam Lucknowi

Urdu
UrduSayyida Zainab
A lament in the voice of Sayyida Zainab, recalling the suffering of Ahlul Bayt in Karbala, with Roman Urdu, Urdu and English texts.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Thi Yeh Zainab Ki Sada Kaisa Zamana Aa Gaya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Thi Yeh Zainab Ki Sada Kaisa Zamana Aa Gaya

Thi Yeh Zainab Ki Sada Kaisa Zamana Aa Gaya

Aalam Lucknowi

YouTube loads when you open Listen.

Thi Yeh Zainab Ki Sada Kaisa Zamana Aa Gaya

Aalam Lucknowi

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Thi yeh Zainab ki sada kaisa zamana aa gaya
Hum hain Baba berida kaisa zamana aa gaya

Chhente hai mere sar se chadar e Zaherra laen
Zulm ki hai inteha, kaisa zamana aa gaya

Paalne mein de ke lori, main sulaati thi jise
Uska jhoola bhi jala, kaisa zamana aa gaya

Teer Asghar ke laga, baazo kate Abbas ke
Aizameen e Karbala, kaisa zamana aa gaya

Biyah ke din aane se pahle hi Akbar mar gaya
Ro ke laila ne kaha, kaisa zamana aa gaya

Tha Nabi ka jo Nawaasa aur Ali ka Laadla
Qatl pyaasa ho gaya, kaisa zamana aa gaya

Deiten hain aada aziyat humko bekas jan kar
Kya nahin Tumko pata, kaisa zamana aa gaya

Nana ki ummat par itne zulm dhayen hain ke bus
Main Karoon kis se gila, kaisa zamana aa gaya

Halq e Shah e Karbala par teen dinki pyaas mein
Shimr ka khanjar chala, kaisa zamana aa gaya

KahtiN thiN Aalam* yeh Binte Fatima sar peet kar
Lut gaya kunba mera, kaisa zamana aa gaya

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Ali Akbar, Ali Asghar
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.