Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Mir Hasan Mir

2018Urdu
2018UrduImam HussainMuharram
Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi is a 2018 Urdu Noha recited by Mir Hasan Mir, written by Mir Sajjad Mir and composed by Raza Shah. The lament portrays Bibi Zainab addressing her brother Hazrat Abbas at his grave in Karbala after her return from captivity. Through nine sorrowful verses, she recalls the suffering of Imam Hussain, the loss of Ali Akbar and Ali Asghar, the humiliation of the captives and the hardships endured by the Ahlulbayt without Abbas's protection.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Lyrics

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ghazi, mere Ghazi ×2
Mere Ghazi

Aayi jab Karbobala laut ke Bint-e-Zahra
Qabr-e-Abbas pe Zainab ne kiya yeh noha
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi
Teri shehzadi yun dar dar na phirayi jaati
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Qabr-e-Abbas pe Zainab yeh sada deti thi
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Kabhi Yasrab to kabhi soo-e-Najaf dekhte the
Kabhi tere kate shaanon ki taraf dekhte the
Sheh ne Akbar ke kaleje se nikaali barchhi
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Ho gayi Sani-e-Zahra bhi zaeefa Abbas
Saans leti hoon magar main nahi zinda Abbas
Tere tukdon ki qasam teri behen toot gayi
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Pyaas mein bhi tujhe aawaaz diye jaate the
Zair-e-khanjar bhi tera naam liye jaate the
Gardan-e-Shah pe jab Shimr chalata tha chhuri
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Mere haathon ko bhi rassi se gaya tha baandha
Main bhi haathon ka na le paayi sahara bhaiyya
Jaise tu zeen se gira waise main naaqe se giri
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Qaidkhana bhi ghareebi pe meri rota hai
Laash mastoor uthaye yeh kahan hota hai
Farz beton ka nibha aayi Ali ki beti
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Kaise batlaoon woh darbaar ka manzar bhaiyya
Khelta tha sar-e-Sarwar se sitamgar bhaiyya
Maarta tha mere mazloom ke honton pe chhadi
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Qabr mein chain se masoom ko sone na diya
Woh sitam dhaaya gaya kaanp gayi Karbobala
Laash dhoondhi gayi naizon se Ali Asghar ki
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Ladkhadate the bohat paaon to gir jaate the
Ho kahan mere jawaan ro ke yeh farmate the
Laash milti na thi bhaiyya ko Ali Akbar ki
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Mir Sajjad yeh mehsoos karoge tum bhi
Aati hai rauza-e-Ghazi pe sada Sarwar ki
Aaj bhi qaid hai zindaan mein bachchi meri
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.