Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba

Shahid Baltistani

2007Urdu
2007UrduImam HasanShahadat Imam Hasan
Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba (Be Khata Mara Gaya) is a 2007 Urdu Noha recited by Shahid Baltistani, with poetry credited to Rehan Azmi. From Qabr Aur Darvaish, the lament mourns Imam Hasan (a.s.), recalling his poisoning, the grief of Zainab (s.a.), the arrows aimed at his funeral and the sorrow surrounding Qasim at Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2007
Occasion
Shahadat Imam Hasan
Original
Urdu
Album
Qabr Aur Darvaish

Lyrics

Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba

Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba

Shahid Baltistani

YouTube loads when you open Listen.

Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba

Shahid Baltistani

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hassan ×6
Be Khata Mara Gaya Sibte Rasool-e-Do-Sara, Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba ×3

Zehr se tukde jigar, khoon se kafan laal hua
Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba
Be Khata Mara Gaya Sibte Rasool-e-Do-Sara, Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba ×2

Khoon ugalte hue bhai ko behan ne dekha
Aur tadap kar yeh kaha ×2
Teri ghurbat pe aye bhai, teri Zainab ho fida
Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba
Be Khata Mara Gaya Sibte Rasool-e-Do-Sara, Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba ×2

Maa ke dukh se abhi azaad kahan thi Zainab
Ho gaya kaisa ghazab ×2
Baap zinda na raha, bhai su-e-khuld gaya
Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba
Be Khata Mara Gaya Sibte Rasool-e-Do-Sara, Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba ×2

Kar diye zehr-e-halahal ne jigar ke tukde
Aur Qasim ke liye ×2
Kamsini mein hai yeh gham shaam-e-ghareebi jaisa
Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba
Be Khata Mara Gaya Sibte Rasool-e-Do-Sara, Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba ×2

Ghar se ik baar janaaza jo nikal jaata hai
Kab woh phir aata hai ×2
Aisa taboot hai yeh laut ke jo ghar aaya
Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba
Be Khata Mara Gaya Sibte Rasool-e-Do-Sara, Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba ×2

Sheh ne us waqt jo Ghazi ko na roka hota
Hashr ho jaata bapa ×2
Teer aate na janaaze pe tumhaare Maula
Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba
Be Khata Mara Gaya Sibte Rasool-e-Do-Sara, Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba ×2

Sheh ko Rehan baraadar ka jigar yaad aaya
Jab se Karbobala ×2
Tukde Qasim ke uthaate hue Maula ne kaha
Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba
Be Khata Mara Gaya Sibte Rasool-e-Do-Sara, Wa Hassan-e-Sabz-e-Qaba ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2007
Personalities
Imam Hasan, Sayyida Zainab, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Hazrat Qasim
Occasion
Shahadat Imam Hasan
Original language
Urdu
Album
Qabr Aur Darvaish

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.