Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Wasiyat-e-Bibi Fatima Zehra

Mir Hasan Mir

2019Urdu
2019UrduImam AliAyyam-e-Fatimiyah
Wasiyat-e-Bibi Fatima Zehra, also known as Aaj Rukhsat Ho Rahi Hai Tum Se Zahra Ya Ali, is a 2019 Ayyam-e- Fatimiyah Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum Mir. The lament presents Bibi Fatima Zahra's final wishes to Imam Ali, reflecting on her suffering, the upbringing of her children and the grief surrounding her departure.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Wasiyat-e-Bibi Fatima Zehra Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Wasiyat-e-Bibi Fatima Zehra

Wasiyat-e-Bibi Fatima Zehra

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Wasiyat-e-Bibi Fatima Zehra

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Alwida Fatima ×3

Haaye, baad Baba ke jo guzri woh museebat sun lo
Ya Ali, Fatima Zahra ki wasiyyat sun lo

Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali ×3
Parda-e-shab mein meri mayyat uthana, Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Pasliyan tori gayin kaise yeh batlaungi main
Hashr ke maidan mein bhi is haal mein aaungi main
Haath pehlu se na tum mera hatana, Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Woh museebat aap ne achha hua dekhi nahin
Ab main seedhe haath se tasbeeh parh sakti nahin
Aisa Qunfuz ne hai maara taziyana, Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Kehti hai Zainab yeh mujh se dekh kar chehra mera
Aap ke rukhsaar par yeh neel hai kaisa para?
Maine khaya hai tamacha, mat batana Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Taziyane ki aziyyat ka uthana ek taraf
Woh tamache, qatl-e-Mohsin, dar jalana ek taraf
Sab se mushkil tha magar darbar jana, Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Jab meri talqeen parhna, yaad kar lena zara
Dar ke girne se mera baazu bhi hai toota hua
Mere shanon ko zara dheere hilana, Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Chahe aa jaye qayamat, mujh se yeh waada karo
Jab talak Maula mere Shabbir ki marzi na ho
Tab talak mera janaza mat uthana, Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Jab se aayi hoon palat kar fikr hai mujh ko yehi
Main to parde mein gayi phir bhi zaeefa ho gayi
Be-rida darbar hai Zainab ko jana, Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Karbala mein jab mere mazloom par khanjar chale
Pyaas ke aalam mein woh Ghazi ko jab awaaz de
Main bhi aaungi wahan par, tum bhi aana Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Haath pehlu par rakhe boli Takallum Fatima
Main dua karti hoon tum Aameen keh dena zara
Jald aaye mere Mehdi ka zamana, Ya Ali
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra, Ya Ali

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.