Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya AbalFazl (as)

Mir Hasan Mir

2022Urdu
2022UrduImam HussainMuharram
Ya AbalFazl (as) is the title noha of Mir Hasan Mir's 2022 Muharram album, recited with Mir Qasim Mir and written and composed by Mir Sajjad Mir. It is a heartfelt appeal to Hazrat Abbas Alamdar (AS), remembering his loyalty to Imam Hussain, the thirst of Bibi Sakina, and the devotion of mourners who long to visit Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Lyrics

Ya AbalFazl (as) Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya AbalFazl (as)

Ya AbalFazl (as)

Mir Hasan Mir · Mir Qasim Mir

YouTube loads when you open Listen.

Ya AbalFazl (as)

Mir Hasan Mir · Mir Qasim Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas, Abbas, Abbas
AbalFazl, AbalFazl, AbalFazl Alamdar

Ya Kashifal Karbi An Wajhil Hussain
Ikshif Karbi Bi-Haqqi Akhikal Hussain

Saqqi-e-Aal-e-Aba AbalFazl
Tishna Lab-e-Karbala AbalFazl
Chashma-e-Aab-e-Baqa AbalFazl (x2)

AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Karb Shabbir Ke Chehre Se Mitane Wale
Ranj Se Aal-e-Muhammad Ko Chhudane Wale
Thaam Le Haath Pareshan Azadaron Ka
Ae Sakina Ke Liye Bazu Katane Wale
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Toot Jaye Na Meri Aas Ae Umeed-e-Haram
Mere Zakhmon Ka Faqat Aap Ho Ghazi Marham
Arbaeen Pe Humein Bulwa Le Ziyarat Ke Liye
Aap Ko Pehlu Shikasta Kisi Bibi Ki Qasam
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Hum Ko Duniya Ka Tarafdar Na Hone Dena
Sirf Baaton Ka Azadar Na Hone Dena
Sadqa Shehzadi Ruqaiya Ke Bandhe Hathon Ka
Hum Ko Mushkil Mein Giraftar Na Hone Dena
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Likh Do Taqdeer Mein Phir Karbala Jaana Ghazi
Apna Darbar Humein Jald Dikhana Ghazi
Wasta Deta Hoon Zakhm-e-Ali Akbar Ka Tumhein
Karbala Saare Jawanon Ko Bulana Ghazi
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Us Ghari Nazron Mein Ashur Ki Rudad Aayi
Aansu Aankhon Mein Bhare Honton Pe Faryad Aayi
Saamne Pani Tha Aur Pee Bhi Nahi Sakta Tha
Mujh Ko Roze Mein Teri Pyaas Bahut Yaad Aayi
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Tum Ho Shabbir Ki Beti Ka Sahara Ghazi
Bin Tumhare Na Hua Us Ka Guzara Ghazi
Shimr Ne Jab Bhi Sakina Ko Tamache Maare
Us Ne Baba Ko Nahi Tum Ko Pukara Ghazi
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Us Ghari Khaima-e-Sadat Mein Kohram Hua
Khoon Bhara Jis Ghari Ran Se Tera Parcham Aaya
Pyasi Mar Jaungi Aur Pani Nahi Maangungi
Tod Kar Kooza Yeh Masoom Sakina Ne Kaha
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Tumne Achha Hua Bhai Ki Na Ghurbat Dekhi
Taane Deta Tha Koi Shah Pe Hansta Tha Koi
Apne Bhai Ki Madad Ke Liye Ran Mein Aa Kar
Lash Zainab Ne Uthayi Hai Ali Akbar Ki

Shah Ne Ro Kar Kaha, AbalFazl
Utho Mere Bawafa, AbalFazl
Tanha Hai Bhai Tera (x2)

AbalFazl, AbalFazl, AbalFazl Alamdar

Aakhri Lamhon Mein Shabbir Bade Pyase The
Badi Hasrat Se Su-e-Nehr Nazar Karte The
Shimr Hans Hans Ke Lagata Raha Terah Zarbein
Aur Har Waar Pe Shabbir Sada Dete The
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Mir Sajjad Bayan Kaise Kare Woh Manzar
Shaam Ki Fauj Ne Jab Aag Lagayi Aa Kar
Chheenne Aa Gaye Jab Sar Se Rida Zainab Ki
Us Ghari Kehti Rahi Sani-e-Zahra Ro Kar
AbalFazl Ya AbalFazl Ya AbalFazl

Ya Kashifal Karbi An Wajhil Hussain
Ikshif Karbi Bi-Haqqi Akhikal Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.