Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yeh Ghurbat-e-Ali Hai

Mir Hasan Mir

2018Urdu
2018UrduImam AliAyyam-e-Fatimiyah
Yeh Ghurbat-e-Ali Hai is a 2018 Ayyam-e-Fatimiyah Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum Mir. The verses mourn the isolation of Imam Ali (a.s.) and the suffering of Bibi Fatima Zahra (s.a.), including the dispute over Fadak, her injuries and the sorrow of the Prophet's household.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Ali
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Yeh Ghurbat-e-Ali Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Yeh Ghurbat-e-Ali Hai

Yeh Ghurbat-e-Ali Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Yeh Ghurbat-e-Ali Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Ali, haye Zahra ×2
Pehlu bhi shikasta hai aur qabr bhi tooti hai ×2
Zahra ki ghareebi hi Haider ki ghareebi hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×2

Haq maangne jo Zahra ×2
Darbaar mein gayi hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×4

Aawaz aa rahi hai main Bint-e-Mustafa hoon
Baba ke kalma goyon mein hi to Fatima hoon
Pehchanne se duniya ×2
Inkaar kar rahi hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×4

Sun kar salaam-e-Haider koi nahin hai rukta
Wajib nahin samajhta koi jawab dena
Afsos Fatima bhi ×2
Yeh baat jaanti hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×4

Haye, masjid mein sar jhukaye Maula khare hue hain
Haakim ki tohmaton ko chup chaap sun rahe hain
Siddiqa sab ke saamne jhutlayi ja rahi hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×4

Ek kooche mein pahunch kar dekha jo Mujtaba ne
Zalim ne zarb maari kaise Khuda hi jaane
Bint-e-Nabi zameen par ×2
Ghash kha ke gir pari hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×4

Mazloom-e-Karbala ko yaad aa gayi Sakina
Beti pe Mustafa ki Qunfuz ka haath utha
Pehlu mein Murtaza ki ×2
Talwar ro rahi hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×4

Pehlu bhi hai shikasta, haathon pe bhi hain chhaale
Hai aap ki amaanat ab aap ke hawaale
Haye, yeh keh ke Murtaza ne ×2
Mayyat Nabi ko di hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×4

Kaafi hai bas yeh fiqra rone ko zindagi bhar
Haathon ko apne aksar kehte the mal ke Haider
Khyber-shikan ki zauja ghut ghut ke mar gayi hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×4

Haye, kaise likhe Takallum ghurbat Ali Wali ki
Zauja sahabiyon ke darbaar mein gayi thi
Beti sharabiyon ke ×2
Darbaar mein gayi hai

Yeh ghurbat-e-Ali hai ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Ali
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.