Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Gham Sakina Ko Mile

Mir Hasan Mir

2012Urdu
2012UrduBibi SakinaMuharram
Gham Sakina Ko Mile, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2012), is a noha about sufferings and captivity of bibi sakina. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Lyrics

Gham Sakina Ko Mile Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Gham Sakina Ko Mile

Gham Sakina Ko Mile

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Gham Sakina Ko Mile

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sakina, haaye zindaan ×2
Gham Sakina ko mile itne Musalmaanon se ×2
Haaye ×2
Mar gayi par na kabhi ×2
Haath hate kaanon se
Gham Sakina ko mile ×2

Shaam jaate hue naaqe se giri yoon bachchi ×2
Mashk Ghazi ki giri jaise kate shaanon se
Haaye, gham Sakina ko mile ×2

Chaunk uthti thi Madine mein yeh keh kar Bano ×2
Koi aawaaz mujhe deta hai veeraanon se
Haaye, gham Sakina ko mile ×2

Kitni be-rehmi se zaalim ne utaare woh gauhar ×2
Shah beti ko jo pehnaaye the armaanon se
Haaye, gham Sakina ko mile ×2

Mujhko kurte mein hi dafnaana, Sakina ne kaha ×2
Mat kafan maangna ae bhai Musalmaanon se
Haaye, gham Sakina ko mile ×2

Koi ghaibat mein unhein dekh ke khoon rota hai ×2
Rista rehta hai lahu aaj bhi jin kaanon se
Haaye, gham Sakina ko mile ×2

Sab chale jaate hain Shabbir ko ro kar, Akbar ×2
Ek bachchi nahin jaati hai aza-khaanon se
Gham Sakina ko mile itne Musalmaanon se ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Bibi Sakina, Imam Hussain, Imam Mahdi, Bibi Sughra
Occasion
Muharram
Themes
Sufferings and captivity of Bibi Sakina
Original language
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.