Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Dasht-e-Wigha Mein Noor-e-Khuda Ka Zuhoor Hai

Mir Anees

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Dasht-e-Wigha Mein Noor-e-Khuda Ka Zuhoor Hai is a classical Urdu Marsiya by Mir Anees. It opens by describing the divine radiance of Imam Hussain on the plain of Karbala, recalls the childhood of Imam Hasan and Imam Hussain in the Prophet Muhammad’s household, and moves to Hussain’s martyrdom and the grief of Sayyida Fatima Zahra, Sayyida Zainab and Bibi Sakina. Read the complete preserved poetry in Roman Urdu and Urdu with a newly prepared English line-by-line translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Dasht-e-Wigha Mein Noor-e-Khuda Ka Zuhoor Hai Lyrics

WA

Dasht-e-vighaa men noor-e-khudaa kaa zuhoor hai
Zarron men raushnee-e-tajallee-e-toor hai
Ik aaftaab-e-rukh kee ziyaa duur duur hai
Koson zameen aks se dariyaa-e-noor hai
Allaah-re husn tabqa-e-ambar-sarisht kaa
Maidaan-e-karbalaa hai namoona bahisht kaa
Hairaan zameen ke nuur se hai charkh-e-laajvard
Maanind-e-kahrubaa hai rukh-e-aaftaab-e-zard
Hai roo-kash-e-fazaa-e-iram vaadi-e-nabard
UThtaa hai khaak se tataq-e-noor jaa-e-gard
Hairat se haamilaan-e-falak un ko takte hain
Zarre naheen zameen pe sitaare chamakte hain
Hai aab-e-nahr soorat-e-aaeena jalva-gar
Taabaan hai misl-e-chashma-e-khursheed har bhanvar
Lahren bisaan-e-barq chamaktee hain sar-ba-sar
Paanee pe machhliyon kee Thahartee naheen nazar
Ye aab-o-taab hai ki guhar aab aab hain
Dariyaa to aasmaan hain sitaare hubaab hain
Partav-fagan huaa jo rukh-e-qibla-e-anaam
Mashhoor ho gaee vo zameen arsh-ehtishaam
Aur sang-reze durr-e-najaf ban gae tamaam
Sahraa ko mil gayaa sharaf-e-vaadee-assalaam
Kaabe se aur najaf se bhee izzat sivaa huee
Khaak us zameen-e-paak kee khaak-e-shifaa huee
Phailaa jo noor-e-mahr-e-imaamat dam-e-zavaal
Zarron se vaan ke aankh milaanaa huaa muhaal
Saare nihaal faiz-e-qadam se hue nihaal
Akhtar bane jo phuul to shaakhen baneen hilaal
Patte tamaam aaeena-e-noor ho gae
Sahraa ke nakhl sab shajar-e-toor ho gae
Ghul thaa zahe husain kee shaukat zahe vaqaar
Goyaa khaDe hain jang ko mahboob-e-kirdgaar
Rukh se ayaan hai dabdaba-e-shaah-e-zul-fiqaar
Hai noor-e-haq jabeen-e-munavvar se aashkaar
Kyoonkar chhupe na maah-e-do-hafta hijaab se
Chauda tabaq men nuur hai us aaftaab se
Ye roo-e-raushan aur ye gesu-e-mushk-e-faam
Yaan shaam men to subh hai aur subh men hai shaam
Haale men yuun nazar naheen aataa hai mah tamaam
Qudarat khudaa kee nuur kaa zulmat men hai maqaam
Zulfon men jalva-gar naheen chehra janaab kaa
Hai nisf shab men aaj zuhoor aaftaab kaa
Qurbaan kamaan-e-abroo-e-maulaa pe jaan o dil
Gar maah-e-nau kahen to hai tashbeeh mubtazil
Chashm-e-ghazaal-e-dasht-e-khutan chashm se khajil
Dekhaa jise karam se khataaen huiin bahil
Putlee bisaan-e-qibla-numaa be-qaraar hai
Giryaan hain vo ye gardish-e-lail o nahaar hai
Rukhsaar hain ziyaa men qamar se ziyaada-tar
Jin par Thahar sakee na kabhee shams kee nazar
Reesh-e-mokhazzab aur ye rukh-e-shaah-e-bahr o bar
Paidaa hain saaf maanee-e-val-lailo-o-val-qamar
Quraan se ayaan hai buzurgee imaam kee
Khaaee qasam khudaa ne isee subh o shaam kee
Kis munh se keejiye lab-e-jaan-bakhsh kaa bayaan
Choosee jinhon ne ahmad mukhtaar kee zabaan
Kyaa durr-e-aab-daar hain is durj men nihaan
Goyaa ki motiyon kaa khazaana hai ye dahaan
Zarre zameen pe aks se saare chamak gae
Jis vaqt ye khile to sitaar chamak gae
Sham-e-hareem-e-lam-yazalee thaa guloo-e-shaah
Taareek shab men jaise huvaidaa ho noor-e-maah
Ai charkh-e-be-madaar ye kaisaa sitam hai aah
Shamsheer-e-shimr aur mohammad kee bosa-gaah
Jis par rasool honTon ko malte hon pyaar se
KaT jaae karbalaa main vo khanjar kee dhaar se
Manzoor yaan thee madh-e-guloo-e-shah-e-umam
Yaad aa gaee magar ye hadees-e-gham-o-alam
Masjid men jalva-gar the rasool-e-falak-hasham
Malte the zikr-e-haq men lab-e-paak dam-ba-dam
Raushan the baam-o-dar rukh-e-raushan ke nuur se
Aaeena ban gaee thee zameen tan ke nuur se
Thaa jo sutoon ki rukn-e-risaalat kaa takiya-gaah
Kursee bhee us kee pusht kee thee DhoonDhtee panaah
Thaa jis haseer par vo do aalam kaa baadshaah
Hasrat se arsh kartaa thaa us farsh par nigaah
Auj-e-zameen bahisht-e-bareen se do-chand thaa
Mimbar kaa nuh falak se bhee paaya buland thaa
Ashaab-e-khaas gird the anjum kee tarah sab
Taabaan thaa biich men vo mah-e-haashmee-laqab
Sar par malak-sifaat magas-raaan the do arab
Jibreel tah kiye hue the zaanu-e-adab
Khaadim bilaal-o-qumbar-e-gardoon-asaas thaa
Naalain is ke paas asaa us ke paas thaa
Gesoo the vo mufassir-e-vallail-izaa-sajaa
Rukh se ayaan the maanee-e-vashshams-o-va-zzuhaa
Vo reesh-e-paak aur rukh-e-sardaar-e-ambiyaa
Goyaa dharaa thaa rehl pe quraan khulaa huaa
ODhe siyah abaa jo vo aalam-panaah thaa
Kaaba kaa saaf haajiyon ko ishtibaah thaa
Pahloo men baadshaah ke thaa jalva-gar vazeer
Sardaar-e-deen alee-e-valee khalq kaa amiir
Donon jahaan men koee na donon kaa thaa nazeer
Ahmad the aaftaab to haidar mah-e-muneer
Zaahir men ek nuur kaa do jaa zuhoor thaa
Gar ghaur keejiye to vahee ek nuur thaa
Masroof-e-vaaz-o-pand the sultaan-e-mashriqain
Jo ghar se nikle khelte zohraa ke nuur ain
Naanaa baghair donon navaason ko thaa na chain
BaDh jaate the hasan kabhee aage kabhee husain
Kahte the dekhen kaun qadam jald uThaataa hai
Naanaa ke paas kaun bhalaa pahle jaataa hai
Vo gore gore chehron pe zulfen idhar udhar
Akhtar se vo chamakte hue kaan ke guhar
Rashk-e-hilaal tauq gale ghairat-e-qamar
Haikal pe naqsh naam khudaa-e-jaleel ke
Taaveez gardanon pe par-e-jibreel ke
Masjid men aae hanste hue jab vo gul-badan
Khushboo se sehan-e-masjid-e-jaame banaa chaman
Tasleem ko husain se pahle jhuke hasan
Khush ho ke muskuraane lage sarvar-e-zaman
BaDh baDh ke kham salaam ko chhoTe baDe hue
BaiThe rahe rasool malak uTh khaDe hue
BeTon ko thaa alee kaa ishaara ki baiTh jaao
Laazim naheen ki vaaz men naanaa ko tum sataao
Phailaa ke haath bole mohammad ki aao aao
Shabbeer ne kahaa hamen pahle gale lagaao
Bhaaee hasan jo aap kee godee men aaen ge
Ham tum se naanaa jaan abhee ruuTh jaaen ge
Bole hasan ki vaah hamen aur karen na pyaar
Iqraar ke chuke hain shahanshaah-e-naam-daar
Bole ba-chashm-e-nam ye husain-e-falak-vaqaar
Dekhen to kaun kaandhe pe hotaa hai ab savaar
Sab se sivaa jo hain so hameen un ke pyaare hain
Aage na baDhiye aap ki naanaa hamaare hain
Bhaaee se tab kahaa ye hasan ne ba-iltifaat
Be-vajh ham se rooThe ho tum ai niko-sifaat
Naanaa hamaare kyaa naheen sultaan-e-kaaenaat
Hotee hai naagavaar tumhen to zaraa see baat
Ghussa na itnaa chaahiye khush-khoo ke vaaste
Machle the yuun hee bachcha-e-aahoo ke vaaste
Ye sun ke munh alee kaa lage dekhne rasool
Hans kar kahaa ye donon hain mere chaman ke phuul
Main chaahtaa huun ek kee khaatir na ho malool
Roenge ye to ghar se nikal aaegee butool
Hove na ranj mere kisee noor-e-ain ko
Tum lo hasan ko god men main luun husain ko
Shabbar se phir ishaara kiyaa ho ke be-qaraar
Ghussa na khaao pahle tumheen ko karenge pyaar
Phir bole dekh kar soo-e-shabbeer-e-naam-daar
Aa ai husain aa tiree baaton ke main nisaar
Chhaatee se ham lagaaenge jaan apnee jaan kar
Dekhen to pahle kaun lipaTtaa hai aan kar
DauDe ye baat sun ke baraabar vo khush-sayar
Paas aae aaftaab-e-risaalat ke do qamar
LipTe husain hans ke idhar aur hasan udhar
The paanv zaanooon pe to baalaa-e-dosh sar
Naanaa ke saath pyaar men donon kaa saath thaa
Gardan men ek un kaa aur un kaa haath thaa
Phir phir ke dekhte the shahanshaah-e-mashriqain
Gah jaanib-e-hasan to kabhee jaanib-e-husain
BaiThe jo zaanooon pe vo zehraa ke noor-e-ain
Thaa tan ko lutf qalb ko raahat jigar ko chain
Jhuk jhuk ke munh rasool-e-zaman choomne lage
In kaa galaa to un kaa dahan choomne lage
Shabbeer chaahte the ki choomen mire bhee lab
Par kuchh gale ke boson kaa khultaa na thaa sabab
Naanaa ke munh ke paas ye laate the munh ko jab
Jhuk jhuk ke choomte the galaa sayyad-e-arab
Bhaaee ko dekh kar jo hasan muskuraate the
Ghairat se un kee aankhon men aansoo bhar aate the
UTThe husain zaanoo-e-ahmad se khashm-geen
Ghusse se rang zard aur aankhon pe aasteen
Rukh par paseena jism men raasha jabeen pa chiin
Poochhaa kidhar chale to ye bole kaheen naheen
Ghar men akele tevaree chaDhaae chale gae
Dekhaa na phir ke sar ko jhukaae chale gae
Baitushsharf men aae jo shabbeer-e-naam-daar
Kurte ko munh pe rakh ke lage rone zaar-zaar
DauDeen ye kah ke faaima-zehraa jigar-figaar
Hai hai husain kyaa huaa too kyuun hai ashk-baar
Tujh ko rulaa ke gham men mujhe mubtalaa kiyaa
Qurbaan ho gaee tujhe kis ne khafaa kiyaa
Meraa kaleja phahTtaa hai ai dilrubaa na ro
Zehraa hazaar jaan se tujh pe fidaa na ro
Sar men na dard ho kaheen ai mah-laqaa na ro
Bas bas na ro husain baraa-e-khudaa na ro
Meree taraf to dekho ki betaab hotee huun
Chaadar se munh ko Dhaanp ke lo main bhee rotee huun
Too munh to khol ai mire shabbeer-e-khush-khisaal
Tar ho gae hain aansuon se gore gore gaal
Mal mal ke pusht-e-dast se aankh karo na laal
Suljhaaoon aao uljhe hue gesuon ke baal
Ghar se gae the saath judaa ho ke aae ho
Samjhee main kuchh hasan se khafaa ho ke aae ho
Tum chup raho vo ghar men to masjid se phir ke aaen
Guzree main khel se mire bachche ko kyuun rulaaen
Un se na boliyo vo tumhen laakh gar manaaen
Lo aao jaane do tumhen chhaatee se ham lagaaen
Vaaree agar hasan ne rulaayaa buraa kiyaa
Poochhoongee kyaa na main mire pyaare ne kyaa kiyaa
Bole husain ham to hain is baat par khafaa
Naanaa ne choome bhaaee ke honT aur miraa galaa
Tum ammaan-jaan munh ko to soongho mire zaraa
Kuchh boo-e-naagavaar hai mere dahan men kyaa
Bhaaee ke lab se apne labon ko milaate hain
Ab ham na jaaen ge hamen naanaa rulaate hain
Munh rakh ke munh pe bolee ye zehraa jigar-figaar
Boo-e-gulaab aatee hai ai mere gul-azaar
Choomaa agar galaa to khafaa ho na main nisaar
Tum ko zabaan choosaate the mahboob-e-kirdgaar
Ye mushk men mahak na gul-e-yaasman men hai
Khush-boo usee dahan kee tumhaare dahan men hai
Kahne lage husain ye maan se ba-chashm-e-nam
Kyaa jaano tum hasan se hamen chaahte hain kam
Ye kyaa unheen pe lutf-o-inaayat hai dam-ba-dam
Maaloom ho gayaa unhen pyaare naheen hain ham
Ro ro ke aaj jaan ham apnee ganvaaenge
Paanee na ab piyenge na khaane ko khaaenge
Ye baat sun ke ho gayaa zehraa kaa rang faq
Bolee pisar se ro ke vo bint-e-rasool-e-haq
Sadqe gaee karo na kaleje ko mere shaq
Hai hai ye kyaa kahaa mujhe hotaa hai ab qalaq
Meraa lahoo bahegaa jo aansoo bahaaoge
Kaahe ko maan jiyegee jo khaanaa na khaaoge
Ye kah ke oDh lee sar-e-pur-noor par ridaa
Moze pahan ke god men shabbeer ko liyaa
Dar tak gaee jo ghar se vo dil-band-e-mustafaa
Fizza ne baDh ke boozar o salmaan ko dee sadaa
Pesh-e-nabee husain ko godee men laatee hain
HaT jaao sab ki faatima masjid men aatee hain
Allaah-re aamad aamad-e-zehraa kaa bandobast
Saaton falak the auj-e-sharaafat se jis ke past
Ahmad ke gird-o-pesh se uTThe khudaa-parast
Insaan to kyaa malak ko na thee qudarat-e-nishast
Aaiin to shaad-shaad rasool-e-zaman hue
Ghar men khudaa ke ek jagah panj-tan hue
Taazeem-e-faatima ko uThe sayyad-ul-bashar
Dekhaa ki chashm-e-faatima hai aansuon se tar
Gham the husain dosh pe maan ke jhukaae sar
Thaa ik hilaal mahr ke pahloo men jalva-gar
Maan kahtee thee na rovo magar chup na hote the
Aankhen thiin band hichkiyaan le le ke rote the
Ghabraa ke poochhne lage mahboob-e-zul-jalaal
Rotaa hai kyuun husain ye kyaa hai tumhaaraa haal
Boleen butool aaj qalaq hai mujhe kamaal
Royaa hai ye husain ki aankhen hain donon laal
Aate hain hanste rote hue ghar men jaate hain
Shafqat bhee aap hee karte hain aap hee rulaate hain
Haathon ko joDtee huun main yaa shaah-e-bahr-o-bar
Shafqat kee us ke haal pe har-dam rahe nazar
Rone se us ke hotaa hai TukDe miraa jigar
Mujh faaqa-kash ghareeb kaa pyaaraa hai ye pisar
Haidar se poochhiye mire usrat ke haal ko
Kis kis dukhon se paalaa hai is naunihaal ko
Ashk us ke jitne Tapke hain yaa shaah-e-nek-khoo
Utnaa hee ghaT gayaa hai mire jism kaa lahoo
Roe hain phuuT phuuT ke ye mere roo-ba-roo
Tar ho gayaa hai aansuon se chaand saa guloo
Dekhaa na thaa ye main ne jo haal is kaa aaj hai
Hazrat to jaante hain ki naazuk mizaaj hai
Shafqat se aaj aap ne choome hasan ke lab
Bosa liyaa na un ke labon kaa ye kyaa sabab
Rutbe men donon ek hain yaa survar-e-arab
Main sach kahoon ye sun ke mujhe bhee huaa ojab
Is ko jo ho khushee to dil is kaa bhee shaad ho
ChhoTe se chaahiye ki mohabbat ziyaad ho
Aap un ke naaz uThaate hain yaa shaah-e-bahr-o-bar
Phir kis se rooThen aap se rooThen na ye agar
Aksar inhen chaDhaayaa hai hazrat ne dosh par
Gesoo diye hain nanhe se haathon men besh-tar
RooThe the ye so qadmon pe sar dharne aae hain
Munh ke na choomne kaa gilaa karne aae hain
Ye kah ke phir husain se boleen ba-chashm-tar
Lo jaa ke ab nabee ke qadam par jhukaao sar
Aae husain haath jo nanhe se joD kar
Be-ikhtiyaar rone lage sayyad-ul-bashar
Rah rah ke dekhte the alee o butool ko
Nazdeek thaa qalaq se ghash aae rasool ko
Thee aansuon se reesh-e-mubaarak tamaam nam
Fart-e-bukaa se khaak pa jhukte the dam-ba-dam
Gaahe sutoon se lag ke hue raast gaah kham
Har lahza iztiraab ziyaada thaa sabr kam
Ho saktaa thaa na zabt shah-e-mashriqain se
Rote the baar baar lipaT kar husain se
Shabbeer ro ke kahte the naanaa na roiye
Roenge ab na ham shah-e-vaalaa na roiye
Hilne lagegaa arsh-e-muallaa na roiye
PhaTtaa hai ab hamaaraa kaleja na roiye
Sau baar din men ham to munh ashkon se dhote hain
Hazrat hamaare rone pe kaahe ko rote hain
Ghabraa gae alee-e-valee shaah-e-bahr-o-bar
Kee arz faatima ne jhukaa ke qadam pe sar
BeTee nisaar ho gaee yaa sayyad-ul-bashar
Kyaa vajh hai jo aap hain is tarah nauha gar
Jaldee bataaiye ki mujhe taab ab naheen
Ronaa khudaa ke dost kaa ye be-sabab naheen
Hazrat ko ilm-e-ghaib hai yaa shaah-e-ins-o-jaan
Aainda o guzishta kaa sab haal hai ayaan
Kyaa aaee aaj vahee-e-khudaavand-e-do-jahaan
Honaa hai jo husain pe mujh se karo bayaan
Faaqon se kaaTtee huun museebat jahaan kee
Kyuun baaba-jaan khair to hai is kee jaan kee
Bole jigar ko thaam ke mahboob-e-zul-jalaal
Tujh se sunaa na jaaegaa ai faatima ye haal
Kis munh se main kahoon ki qalaq hai mujhe kamaal
Zehraa shaheed hue hovenge tere ye donon laal
Maatam kee ye khabar abhee jibreel laae the
Saare malak husain ke purse ko aae the
Almaas pee ke huegaa be-jaan tiraa hasan
Ye vajh hai ki choomtaa huun us kaa main dahan
Bhar jaaegaa kalejon ke TukDon se sab lagan
Hogaa zamurradee tire is laal kaa badan
Soo-e-bahisht jab ye jahaan se sidhaarenge
Bad-kesh tiir is ke janaaze pa maarenge
Zehraa mujhe kalaam kee taaqat naheen hai ab
Halq-e-husain choomne kaa kyaa kahoon sabab
Ik ban men tiin roz rahenge ye tishna-lab
KaT jaaegaa galaa yahee khanjar se hai ghazab
Neze pe sar chaDhegaa tire noor-e-ain kaa
GhoDon se raund Daalenge laasha husain kaa
Roe khabar ye kah ke jo mahboob-e-zul-minan
Ghabraa ke munh husain kaa takne lage hasan
Zehraa pukaaree haae luTegaa miraa chaman
Main mar gaee duhaaee hai yaa sarvar-e-zaman
Ye kaisee aag hai ki miree kokh jal gaee
Hai hai chhuree kaleje pe zehraa ke chal gaee
Fariyaad yaa-nabee shah-e-abraar al-ghiyaas
Ai mursilaan-e-haq ke madad-gaar al-ghiyaas
Ai be-kason ke vaaris o sardaar ul-ghiyaas
Qudarat hai sab tarah kee shah-e-mashriqain ko
Hazrat se loongee apne hasan aur husain ko
Kis jurm par ye laal mire qatl honge aah
Ro kar kahaa rasool-e-khudaa ne ki be-gunaah
Kee arz faatima ne ki ai arsh-e-baar-gaah
Bachchon ko mere kyaa na milegee kaheen panaah
Talvaaren khench khench ke zaalim jo aaenge
Hazrat na kyaa navaason ko apne bachaaenge
Aasaan hai kyaa jo qatl karenge sitam-shiaar
Kyaa sher-e-haq kamar se na kheenchenge zul-fiqaar
Aadaa pe kyaa chalegaa na dast-e-khudaa kaa vaar
Baalon ko kyaa na kholegee zehraa jigar figaar
TukDe jigar jo huegaa mujh dil do-neem kaa
Paaya na kyaa hilaaoongee arsh-e-azeem kaa
Zehraa se ro ke kahne lage shaah-e-nek-khoo
BeTee mujhe sataaenge turbat men keena-joo
Is vaqt qatl hovenge ye donon maah-roo
Duniyaa men jab na hogaa alee aur na main na too
Laashe pe mujtabaa ke too shabbeer roegaa
Shabbeer jab maregaa to koee na huegaa
Chillaaee sar paTak ke ye zehraa ki hai sitam
PeeTegaa kaun tan se jo niklegaa us kaa dam
Maatam kee saf bichhaaegaa kaun ai shah-e-umama
Purse ko kaun aaegaa us ke ba-chashm-e-nam
Ham men se aise vaqt jo koee na huegaa
Hai hai mire husain ko phir kaun roegaa
Bachche kee mere taaziya-daaree karegaa kaun
Munh Dhaanp Dhaanp girya-o-zaaree karegaa kaun
Dariyaa-e-ashk chashm se jaaree karegaa kaun
Imdaad baad-e-marg hamaaree karegaa kaun
Hogaa kahaan nabee ke navaase kaa faatiha
Sharbat pe kaun devegaa pyaase kaa faatiha
Bole nabee ki aap ko zehraa na kar halaak
Farmaa chukaa hai mujh se ye vaada khudaa-e-paak
Paidaa karenge qaum ik aisee ba-roo-e-khaak
Jo raat din rahenge isee gham men dard-naak
Bazm-e-azaa men aaenge vo duur duur se
Tan khaak se banaaenge dil un ke nuur se
Hogee unheen se majlis-e-maatam kee zeb-o-zain
Denge unhen vo lab ki rahe jis pe vaa husain
Aankhen vo denge rone ko samjhen jo farz-e-ain
Haath aise ghair seena-zanee ho jinhen na chain
Saamaan taaziyat ke kabhee kam na hovenge
Vo hashr tak husain ke maatam men roenge
Hogaa ayaan falak pe moharram kaa jab hilaal
Rakht-e-siyaah pahnenge bar men vo khush-khisaal
Kholengee beebayaan bhee sab apne saron ke baal
Har ghar men hogaa shor ki hai hai alee kaa laal
Lenge sile men khuld tire noor-e-ain se
Aansoo aziiz vo na karenge husain se
Pyaasaa shaheed hogaa jo teraa ye dil-rubaa
Momin sabeelen rakkhenge paanee kee jaa-ba-jaa
Hovegee shaad ruuh shaheedaan-e-karbalaa
Bhar bhar ke aab-e-sard pukaarenge barmalaa
Mahboob-e-kibriyaa ke navaase kee nazr hai
Pyaase na jaaiyo ki ye pyaase kee nazr hai
Kahne lagee nabee se butool-e-falak-janaab
Hai hai main kyaa karoon mire dil ko naheen hai taab
Ai baadshaah-e-kaun-o-makaan maalikur-riqaab
Dargaah-e-haq men aap kee hai arz mustajaab
Kiije duaa ki khaaliq-e-akbar madad kare
Allaah ye balaa mire bachche kee rad kare
BeTee se ro ke kahne lage shaah-e-kaaenaat
Rooh-ul-ameen ne mujh se to ye bhee kahee hai baat
Chaaho to rad kare ye balaa rabb-e-paak-zaat
Lekin na huegee mire ummat kee phir najaat
Mahboob-e-haq nisaar tire noor-e-ain par
Mauqoof hai ye amar to qatl-e-husain par
Allaah-re sabr-e-mahboob-e-kirdgaar
Ummat kaa naam sun ke jhukaayaa sar ek baar
Khush-nood ho ke kahne lage shaah-e-zul-fiqaar
Sadqe hasan husain tasadduq alee nisaar
Is raah men na maal na daulat aziiz hai
Pyaare pisar naheen hamen ummat aziiz hai
Kahne lage husain se phir shaah-e-bahr-o-bar
Batlaa mujhe ki kyaa tiree marzee hai ai pisar
Naanaa se bole chhoTe se haathon ko joD kar
Ummat ke kaam aae to haazir abhee hai sar
Vaada ko ham na bhoolenge go khurd-saal hain
ChhoTe naheen hain mukhbir-e-saadiq ke laal hain
Rote hain aap kis liye yaa sayyad-e-umam
Raazee hain ham pe raah-e-khudaa men hon jo sitam
Talvaaren bhee chalen to naheen maarne ke dam
Ummat pe apne sar ko tasadduq karenge ham
Ham raast-go hain baat pe jis vaqt aate hain
Kahte hain jo zabaan se vahee kar dikhaate hain
Bachpan men jo zabaan se kahaa thaa kiyaa vo kaam
Jis vaqt ran men TuuT paDe shah pe fauj-e-shaam
Gardan jhukaa ke barchhiyaan khaayaa kiye imaam
Khuun men qabaa rasool kee tar ho gaee tamaam
Teghen alee ke laal ke shaane pe chal gaiin
Chhaatee ke paar nezon kee noken nikal gaiin
Pheree na thee jo pusht-e-mubaarak dam-e-masaaf
The do hazaar zakhm faqat sar se taa-ba-naaf
Sayyad se be-vatan se zamaana thaa bar-khilaaf
Ghul thaa ki aaj hotaa hai ghar faatima kaa saaf
Sambhlaa na jaaegaa khalaf-e-boo-turaab se
Lo vo qadam husain ke nikle rikaab se
Menh kee tarah barasne lage shaah-e-deen pe tiir
Tharraa rahe the lag ke tan-e-naazneen pe tiir
Daaman pe tiir jaib pe tiir aasteen pe tiir
Pahloo pe tegh siina pe neza jabeen pe tiir
Daaghon se khuun ke rakht-e-badan laala-zaar thaa
Shakl-e-zareeh seena-e-aqdas figaar thaa
Tar thee lahoo men zulf-e-shikan-dar-shikan judaa
Majrooh laal-e-lab the judaa aur dahan judaa
Darpai the neza-daar judaa teghzan judaa
KaT kaT ke ho gayaa thaa har ik uzv-e-tan judaa
See-paara thaa na sadr faqat us janaab kaa
Purze varaq-varaq thaa khudaa kee kitaab kaa
Kartaa thaa vaar barchhiyon vaalon kaa jab paraa
Teghon se dam bhee lene kee mohlat na thee zaraa
Nezon men khuun nabee ke navaase kaa thaa bharaa
Shamsheer-o-teer neza-o-khanjar ke maavaraa
Thiin sakhtiyaan sitam kee shah-e-khush-khisaal par
Chalte the sang faaima-zehraa ke laal par
The do hazaar jism-e-shah-e-bahr-o-bar pe zakhm
Maathe pe zakhm tiir ke teghon ke sar pe zakhm
Gardan pe zakhm siine pe zakhm aur kamar pe zakhm
Aur is ke maavaraa the bahattar jigar pe zakhm
GhoDe pe gah sambhalte the gah Dagmagaate the
Ghash aataa thaa to hirne pe sar ko jhukaate the
GhoDe pe jab sambhalne kee mutlaq rahee na taab
Haathon se baag chhooT gaee aur paanv se rikaab
Girne lagaa jo khaak pe vo aasmaan-janaab
Marqad men be-qaraar huee rooh-e-boo-turaab
Ghul thaa ki khaak par shah-e-kaun-o-makaan giraa
Bas ab zameen ulaT gaee aur aasmaan giraa
Jaltee huee zameen pe taDapne lage imaam
Be-kas pe zaalimon ne kiyaa aur izhdihaam
Us vaqt shimr se ye umar ne kiyaa kalaam
Haan tan se jald kaaT sar-e-sarvar-e-anaam
Dariyo na sun ke faaima-zehraa kee aah ko
Gul kar de sham-e-qabr-e-risaalat-panaah ko
Ye sunte hee chaDhaaee sitam-gar ne aasteen
Khanjar kamar se kheench ke aage baDhaa liin
The qibla-roo jhuke hue sajde men shaah-e-deen
Lab hilte dekhe shaah ke aayaa vo jab qareen
Samjhaa ki tishnagee se jo sadme guzarte hain
Us vaqt bad-duaa mujhe shabbeer karte hain
Jhuk kar qareeb kaan jo laayaa to ye sunaa
Haq men gunaahgaaron ke karte hain shah duaa
Jaaree zabaan-e-khushk pe ye hai ki ai khudaa
Kar haajaton ko mere muhibbon kee to ravaa
Sheeon kaa hashr roz-e-jazaa mere saath ho
Meraa ye khoon-bahaa hai ki un kee najaat ho
Ye sun ke mustaid huaa vo shah ke qatl par
Zaanoo rakhaa husain ke siine pa be-khatar
Gardan pe pherne lagaa khanjar jo bad-guhar
Aaee sadaa alee kee ki hai hai mire pisar
Zehraa pukaaree kuchh bhee nabee se hijaab hai
Zaalim ye bosa-gaah-e-risaalat-maaab hai
Kyuun zabh mere laal ko kartaa hai be-gunaah
Kyuun kaaTtaa hai mere kaleje ko roo-siyaah
Kashtee ko ahl-e-bait-e-nabee kee na kar tabaah
Main faatima huun arsh hilaaegee meree aah
Huegaa hashr qatl jo ye be-vatan huaa
Ye mar gayaa to khaatma-e-panj-tan huaa
Aavaaz apnee maan kee ye zainab ne jab sunee
DauDee nikal ke kheme se sar peeTtee huee
Dekhaa ki zabh kartaa hai hazrat ko vo shaqee
Sar piiT kar ye kahne lagee vo jigar-jalee
Hai hai na tiin roz ke pyaase ko zabh kar
Zaalim na mustafaa ke navaase ko zabh kar
Baano pukaartee thee ye kyaa kartaa hai laiin
Pyaasaa hai tiin roz se haidar kaa jaa-nasheen
Chillaatee thee sakeena ki jiine kee main naheen
Baabaa ko zabh kartaa hai kyuun ai udoo-e-deen
Khanjar na pher chaand see gardan pe rahm kar
Abbaa ko chhoD de mire bachpan pe rahm kar
Zakhmon se chuur chuur hai zehraa kaa yaadgaar
Jis chhaatee par men sotee thee us par hai to savaar
Baabaa ke halq par na phiraa ab chhuree kee dhaar
Badle pidar ke sar ko mare tan se too utaar
Sayyad pe tishna-lab pe sitam is qadar na kar
Potee huun faatima kee mujhe be-pidar na kar
Ro kar bayaan ye kartee thee vo sokhta-jigar
De kar duhaaee ahl-e-haram peeTte the sar
Kartaa thaa zabh shah ko vahaan shimr-e-bad guhar
Farmaate the ye shaah ki pyaasaa huun rahm kar
Paanee diyaa na haae nabee ke navaase ko
Jallaad zabh karne lagaa bhooke pyaase ko
Aakhir sar-e-imaam-e-umam tan se kaT gayaa
Chillaa ke faatima ne ye zainab ko dee sadaa
Maidaan se jald le ke sakeena ko ghar men jaa
Be-jurm kaT gayaa tire maan jaae kaa galaa
Maaraa ba-zulm shimr ne pyaase ko jaan se
Main laT gaee husain sidhaare jahaan se
Bas ai 'anees' bazm men hai naala-o-fughaan
Poochh un ke dil se jo hain sukhan-fahm nukta-daan
Haq hai sunaa naheen kabhee us husn kaa bayaan
Goyaa ki ye khaleeq kee hai sar-ba-sar zabaan
Sach hai ki is zabaan ko koee jaantaa naheen
Jo jaantaa hai aur ko vo maantaa naheen

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain, Imam Hasan, Imam Ali, Prophet Muhammad, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Divine radiance of Imam Hussain, Childhood of Imam Hasan and Imam Hussain
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.