Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Hussain Jab Ke Chale Baad-e-Do Pahar Ran Ko

Mir Anees

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Hussain Jab Ke Chale Baad-e-Do Pahar Ran Ko is a classical Urdu marsiya attributed to Mir Anees, describing Imam Hussain's (AS) final departure for the battlefield of Karbala. The verses portray Bibi Sakina (SA) holding her father's garment, the grief of Bibi Zainab (SA) and Imam Zainul Abidin (AS), and Imam Hussain's last farewell to his daughter. Read the ten-stanza version with Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Hussain Jab Ke Chale Baad-e-Do Pahar Ran Ko Lyrics

WA

Hussain Jab Ke Chale Baad-e-Do Pahar Ran Ko
Na Tha Koi Ke Jo Thaame Rakaab-e-Tausan Ko
Sakina Pakre Khari Thin Aba Ke Daman Ko
Hussain Chupke Khare The Jhukaye Gardan Ko
Na Aasra Tha Koi Shah-e-Karbalai Ko
Faqat Behen Ne Kiya Tha Sawar Bhai Ko

Dar-e-Khayam Pe Ahl-e-Haram Bilakte The
Zameen Pe Abid-e-Beemar Sar Patakhte The
Behen Jo Roti Thi Mur Mur Ke Shah Takte The
Zaban Jo Sookhi Thi Kuchh Baat Kar Na Sakte The
Pukarte The Haram Shah-e-Namdar Chale
Hussain Marne Chale Aur Hum Ko Maar Chale

Koi Yeh Kehti Thi Ro Ro Ke Ya Ali Faryad
Tumhari Betiyan Jangal Mein Hoti Hain Barbad
Koi Malool, Koi Nohagar, Koi Nashad
Kahin Zameen Pe Baqir Hai Aur Kahin Sajjad
Falak Pe Ghul Tha Ke Rooh-e-Batool Roti Hai
Sakina Chaar Baras Ki Yateem Hoti Hai

Yeh Fikr Kar Ke Lage Rone Syed-e-Abrar
Tab Aayi Kaan Mein Awaz-e-Ahmad-e-Mukhtar
Hussain Teri Ghareebi Pe Yeh Rasool Nisar
Agarche Pyas Se Chal Sakta Hai Nahi Rahwar
Piyada Pa Taraf-e-Qatl-Gah Jao Tum
Hamari Ummat-e-Aasi Ko Bakhshwao Tum

Agarche Aap Ke Paon Mein Hai Nahi Taqat
Ke Teen Roz Se Hai Pyas Ki Bari Shiddat
Lage Hain Zakhm Badan Par Tabah Hai Halat
Magar Yeh Jaan Lo Wajib Hai Bakhshish-e-Ummat
Na Qatl Hone Mein Takheer Tum Karo Beta
Hamare Dosh To Hazir Hain Baith Lo Beta

Hussain Khoob Sa Roye Nabi Ka Sun Ke Kalam
Kaha Na Keejiye Tashweesh Ya Rasool-e-Anam
Tumhari Ummat-e-Aasi Pe Sadqe Ho Yeh Ghulam
Yeh Keh Ke Ghore Se Kehne Lage Ba-Azm-e-Tamam
Zyada Mujh Se Tujhe Apni Jaan Pyari Hai
Utha Qadam Ke Meri Aakhri Sawari Hai

Main Kya Kahunga Jo Poochhegi Hashr Mein Zahra
Ke Mere Bete Ko Kyun Le Ke Qatl-Gah Gaya
Aur Is Alam Ke Siwa Aur Yeh Alam Hai Aaqa
Tumhari Walida Sahab Se Main Kahunga Kya
Uthaun Paon Ko Kyun Kar Dil Iztirab Mein Hai
Sakina Aap Ki Lipti Hui Rakaab Mein Hai

Hussain Baith Gaye Khaak Par Ba-Chashm-e-Aab
Liya Sakina Ko Godi Mein Ba-Dil-e-Betaab
Kaha Ke Rokti Ho Kyun Mujhe Batao Shitab
Rakaab Maut Ne Pakri Hai Chhor Do To Rakaab
Gala Bandhe To Bandhe Shukr-e-Kibriya Karna
Sitam Uthana Na Ummat Ko Bad-Dua Karna

Bitha Ke Beti Ko Khaime Mein Ba-Dil-e-Nakaam
Hue Rawana Taraf-e-Qatl-Gah Ko Shah-e-Anam
Qareeb Laash-e-Akbar Pahunch Ke Thehre Imam
Khadang Shah Pe Lagane Laga Woh Lashkar-e-Shaam
Batool Roti Thin Par Ashqiya Na Darte The
Sawab Jaan Ke Syed Ko Qatl Karte The

Sakina Khaime Ki Deorhi Pe Thi Khari Us Aan
Pukari Ro Ro Ke Ulfat Pe Aap Ki Qurban
Hai Lab Pe Naam Mera Nikle Tan Se Meri Jaan
Ba-Waqt-e-Zibah Bhi Bhula Na Tum Ko Mera Dhyan
Pukare Shah Ke Yateemi Pe Teri Rota Hoon
Khuda Ko Saunpa Tumhein Alwida Hota Hoon

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.