Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Betay Ky Qatilon Sy

Mir Hasan Mir

2021Urdu
2021UrduImam HussainMuharram
Betay Ky Qatilon Sy is a deeply moving 2021 noha recited by Mir Hasan Mir and written by Mir Takallum. It portrays Imam Hussain searching the battlefield of Karbala for his wounded son Ali Akbar, pleading with his son's killers to show him where his body lies.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Betay Ky Qatilon Sy Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Betay Ky Qatilon Sy

Betay Ky Qatilon Sy

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Betay Ky Qatilon Sy

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Akbar, Haaye Akbar ×2
Ayna ayna Ali Akbar?
Ayna ayna Ali Akbar?

Haaye Akbar, Haaye Akbar
Haaye Akbar, Haaye Akbar

Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×3
Koi mujhe bata de, laasha kahan para hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Dil par meri behan ke khanjar chala diya hai
Kis ne hamare ghar ka sooraj bujha diya hai
Din mein andhera meri aankhon mein ho gaya hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Pyaase ko bewatan ko itna to mat satao
Chal chal ke thak gaya hoon, logo mujhe batao
Ab aur kitna baaqi maqtal ka faasla hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Ghazi ko tum ne maara, main chup raha na bola
Akbar ko maara neza, main chup raha na bola
Tum se sawaal kar loon, itna to haq mera hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Maa ko baghair dekhe beta guzar na jaye
Pahuncha do mujh ko jaldi, mazloom mar na jaye
Aawaaz aa rahi hai, woh hichki le raha hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Khaime se jab chala tha, kehti thi meri behna
Paamaal ho na jaye Akbar ki laash bhaiyya
Kaanon mein mere ab tak baaqi wahi sada hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Dil baitha ja raha hai, rukte nahi hain aansu
Jungle se aa rahi hai us ke lahu ki khushboo
Kuchh saansein chal rahi hain ya sher chal basa hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Aulaad-e-Mustafa se kis tarah phir gaye ho
Karyal jawan ka marna aasaan samajh rahe ho
Tum log hans rahe ho, dil mera ro raha hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Ahl-e-Haram ki Akbar umeed aakhri hai
Kehti hai yeh zaeefi, mera asa yehi hai
Ab do qadam bhi chalna dushwar ho gaya hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Ghurbat hai aur Takallum Ibn-e-Shah-e-Najaf hai
Koi bola is taraf hai, koi bola us taraf hai
Aakhir pukaare Maula, Ghazi tumhein pata hai
Akbar mera kahan hai?
Betay ke qatilon se, ek baap poochhta hai ×2

Haaye Akbar, Haaye Akbar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.