Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bhai Ka Lasha

Mir Hasan Mir

2022Urdu
2022UrduImam HussainMuharram
Bhai Ka Lasha is a 2022 noha recited by Mir Hasan Mir and Mir Qasim Mir, with poetry by Mir Takallum. It portrays Imam Hussain's grief beside the body of his brother Hazrat Abbas Alamdar (AS), the thirst of the children, and the devastating loss of the protector of the Ahlulbayt in Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Lyrics

Bhai Ka Lasha Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bhai Ka Lasha

Bhai Ka Lasha

Mir Hasan Mir · Mir Qasim Mir

YouTube loads when you open Listen.

Bhai Ka Lasha

Mir Hasan Mir · Mir Qasim Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Are Dushman Ko Bhi Na Bhai Ka Matam Khuda Dikhaye
Logo Batao Bhai Ko Bhai Kahan Se Laye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Lashe Pe Alamdar Ke Sheh Kehte The Haye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Kya Sani-e-Zahra Ko Main Batlaunga Bhaiya
Main Lash Se Uth Kar To Nahi Jaunga Bhaiya
Ab Shimr Yahin Aa Ke Chhuri Mujh Pe Chalaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Phat Jayega Gham Se Mera Dil Thaam Lo Abbas
Ab Der Bahut Ho Gayi Ghar Ko Chalo Abbas
Aisa Na Ho Maqtal Mein Sakina Chali Aaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Ab Hathon Mein Larza Hai Kahan Jaan Rahi Hai
Mazloom Ki Ghurbat Mein Kamar Toot Gayi Hai
Ya Rab Kisi Dushman Pe Bhi Yeh Waqt Na Aaye

Ho Gaya Marna Sitam Abbas Ka
Abbas Pani Lao, Abbas Pani Lao (x2)

Hathon Mein Khali Kooze Bachche Liye Hue Hain (x2)
Gird-e-Sakina Dekho Halqa Kiye Hue Hain (x2)
Bachche Na Jaane Kab Ka Pani Piye Hue Hain (x2)
Bin Aab Mar Na Jayen Pani Inhein Pilao
Abbas Abbas Pani Lao, Abbas Pani Lao
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Pehlu Mein Sada Maine Bithaya Tumhein Bhai
Jis Bhai Ne Godi Mein Uthaya Tumhein Bhai
Woh Bhai Bhala Kaise Teri Lash Uthaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Maa Behnein Hain Hamshakl-e-Payambar Ke Hawale
Main Mashk-o-Alam Karta Hoon Akbar Ke Hawale
Himmat Nahi Shabbir Mein Jo Khaimon Mein Jaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Sadat Hain Yeh Shaam Ke Lashkar Ko Batao
Jaate Hue Yeh Shimr Se Kehte Hue Jao
Woh Meri Sakina Ko Tamache Na Lagaye

Toot Gayi Aas Meri, Toot Gayi Aas

Haan Der Hui Mere Chacha Jaan Sidhaare
Akbar-o-Baba Hain Gaye Nehr Kinare
Are Amma Mera Qalb Jala Pyaas Ke Maare
Haye Tootte Jaate Hain Mere Dil Ke Sahare
Toot Gayi Aas Meri, Toot Gayi Aas
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Akbar Ko Abhi Jaane Do Humne To Kaha Tha
Aulad To Mil Jaati Hai Bhai Nahi Milta
Shabbir Kahan Se Tumhein Ab Dhoond Ke Laye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Sadat Yeh Kehte Hain Ke Hum Pyase Rahenge
Tumne Na Piya Pani To Hum Bhi Na Piyenge
Allah Humein Pyasa Hi Duniya Se Uthaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Mud Mud Ke Take Jaate The Abbas Ka Lasha
Girte Kabhi Uthte The Takallum Sheh-e-Wala
Akbar Badi Mushkil Se Sambhale Hue Aaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Ya AbalFazl (a.s)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.