Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hussain Kehtay Hain

Nadeem Sarwar

2026Urdu
2026Urdu
Hussain Kehtay Hain is a 2026 Noha recited by Nadeem Sarwar in praise of Imam Hussain (AS), reflecting on his sacrifice, steadfastness, suffering in Karbala, and devotion to Allah. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation of Hussain Kehtay Hain on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Original
Urdu

Lyrics

Hussain Kehtay Hain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hussain Kehtay Hain

Hussain Kehtay Hain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Hussain Kehtay Hain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Salaam Imam ×2
Salaam
Maula Ya Hussain Hussain Maula ×3

Jisne Khuda ke liye ghar baar lutaya
Maula Ya Hussain Hussain
Maula Ya Hussain Hussain

Jisne Khuda ke liye ghar baar lutaya
Jisne seena par humein Quran sunaya
Ha kis ne humein mar ke bhi jeena hai sikhaya

Aise sardar ko, Shah-e-Abrar ko ×3
Maula Hussain Ibne Ali kehte hain

Haaan, woh mera rahnuma, mera aaqa bhi wahi
Jiska nana hai Nabi, baap Waliyon ka Wali
Fatima jiski hai maa, bhai jaisa na koi ×2
Bhai jaisa na koi

Aise Sultan ko, us nigehbaan ko ×2
Maula Hussain Ibne Ali kehte hain

Jagah jagah hai goonjta
Maula hi Maula Ya Hussain

Haan, saare sardar jise apna sardar kahein
Saare masoom jise apna didaar kahein
Aur hum jaise jise Rab ka shahkaar kahein ×2
Rab ka shahkaar kahein

Aise sardar ko, Shah-e-Abrar ko ×2
Maula Hussain Ibne Ali kehte hain

Sayyadi ×3
Sayyadi Mustafavi Hashmiyon jaan-e-Nabi ×2
Kooshta-e-tegh-e-jafa haaye Hussain Ibne Ali

Hussain Hussain Hussain Hussain
Mazloom-e-Karbala
Mazloom-e-Karbala Hussain
Ya Hussain

Jab azaakhana saja
Jab azaakhana saja aur unhein yaad kiya
Aa gaye ghar mein mere, dil mera shaad kiya
Ek beghar ne mere ghar ko aabaad kiya ×2
Ghar ko aabaad kiya

Aise mehmaan ko, Shah-e-Zeeshaan ko ×2
Maula Hussain Ibne Ali kehte hain

Jagah jagah hai goonjta
Maula hi Maula Ya Hussain

Marzi-e-Rab thi yahi
Chor de apna watan
Woh ghareeb-ul-watani
Aur ujadta woh chaman
Woh Shahanshah-e-Zaman aur paamaal badan ×2
Aur paamaal badan

Aise mazloom ko, aise masoom ko ×2
Maula Hussain Ibne Ali kehte hain

Jo keh diya Maula ne
Woh karke dikhaya hai
Qurbaan hue lekin
Waade ko nibhaya hai

Hayee, aey Sheh ke azaadaro
Aa jao karo maatam
Ek bibi ke rone ki
Aati hai sada hardam

Ghar luta diya, Maula
Sar kata diya, Maula
Khoon baha diya, Maula
Deen bacha liya, Maula
Be-kafan raha, Maula
Laash na utha, Maula
Pyasa bhi raha, Maula
Ghar ujad gaya, Maula
Ghar ujad gaya, Maula
Deen bacha diya, Maula ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.