Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Al Amaan Ya Sahibaz Zaman

Mir Hasan Mir

2016Urdu
2016UrduImam MahdiMuharram
Al Amaan Ya Sahibaz Zaman is a Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry attributed to Hasnain Akbar. A plea to Imam-e-Zamana over the grief of Sayyida Fatima Zahra and the Ahlulbayt. Explore the Roman Urdu lyrics, Urdu text, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Mahdi
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Lyrics

Al Amaan Ya Sahibaz Zaman Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Al Amaan Ya Sahibaz Zaman

Al Amaan Ya Sahibaz Zaman

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Al Amaan Ya Sahibaz Zaman

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Ibn-az-Zahra ×9
Allahumma ajjil li-waliyyikal-faraj
Al amaan ×6 ya Sahibaz-Zamaan
Al amaan, al amaan ya Sahibaz-Zamaan ×3
Tooti hui hain aaj bhi ×2 Zahra ki pasliyaan
Al amaan, al amaan ya Sahibaz-Zamaan ×2

Haq maangne jo Fatima darbaar mein gayin
Baithe rahe the log, kisi ne haya na ki
Zainab ki maa khari rahi ×2 logon ke darmiyaan
Al amaan ×4

Wa ghurbata, Batool pe kaisi thi woh ghari
Tumko sadaayein deti thi beti Rasool ki
Deewaar aur jalte hue dar ke darmiyaan
Al amaan ×4

Dhaati rahi sitam pe sitam ummat-e-Rasool
Deti rahi azaan-e-wilayat wahaan Batool
Ashhadu anna Aliyyan Waliyyullah
Zahra ki baat sunta ×2 nahin tha koi wahaan
Al amaan ×4

Darbaar se jo laut ke Bint-e-Nabi gayin
Guzre na us maqaam se Maula Hasan kabhi
Jis kooche mein giri thi ×2 zameen par Hasan ki maa
Al amaan ×4

Aabaad hoga phir se woh ujra hua dayaar
Tab hoga khatm Fatima Sughra ka intezaar
Akbar ki tarah doge ×2 Madine mein jab azaan
Allahu Akbar
Al amaan ×4

Tanhaayi, qaid, hurr-e-yateemi, andhera ghar
Had hai ke koi jaa bhi nahin sakta qabr par
Ab aur kitna hoga Sakina ka imtihaan
Al amaan ×4

Kariyal jawaan ko roti hai turbat mein aaj bhi
Akbar ke to kaleje se barchhi nikal gayi
Zainab ke dil se nikli ×2 nahin aaj tak sinaan
Al amaan ×4

Baali Sakina qaid mein, zindaan mein aaj bhi
Akbar, hai intezaar mein beti Hussain ki
Ab bhi sunaayi deti hain ×2 bachchi ki hichkiyaan
Al amaan ya Sahibaz-Zamaan
Allahumma ajjil li-waliyyikal-faraj

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Mahdi
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.