Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Mehdi Ya Mehdi

Mir Hasan Mir

2011Urdu
2011UrduImam MahdiMuharram
Ya Mehdi Ya Mehdi, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2011), is a noha about supplication for imam mahdi and justice for karbala. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2011
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Mehdi Ya Mehdi (ajf) — Volume 2011

Lyrics

Ya Mehdi Ya Mehdi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Mehdi Ya Mehdi

Ya Mehdi Ya Mehdi

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Ya Mehdi Ya Mehdi

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain ×6
Al-ajal ×6
Allahumma ajjil li-waliyyikal-faraj ×2
Al-ajal, al-ajal, ya Imam-e-Zamaan
Karbala se yehi aa rahi hai sada
Al-ajal, al-ajal, waaris-e-Karbala
Ya Mehdi, Ya Mehdi

Laash-e-Shabbir par jo giraaye gaye
Main woh patthar hoon kab se sambhaale hue
De inhi pattharon se tu unko saza
Ya Mehdi, Ya Mehdi

Maa ki nazrein na dekhein yehi soch kar
Seena apna chhupaaye hue hai magar
Zakhm dikhlaayega tujhko Akbar tera
Ya Mehdi, Ya Mehdi

Inteqaam aa ke Zainab ki chaadar ka le
Sar se pehle tu us haath ko kaat de
Bint-e-Zahra ki jisne rida ko chhua
Ya Mehdi, Ya Mehdi

Ek ziyarat chhupaaye hue hoon abhi
Tumko dikhlaaungi aaoge jis ghari
Khoon Sakina ka jo khaak par tha gira
Ya Mehdi, Ya Mehdi

Sar juda, tan juda, donon baazu juda
Phir bhi Ghazi ko armaan hai jang ka
Haath uthaaye bina de raha hai sada
Ya Mehdi, Ya Mehdi

Saath khaimon ke har ek shai jal gayi
Zulm bhi thak gaya, aag bhi bujh gayi
Jal raha hai magar ab bhi seena mera
Ya Mehdi, Ya Mehdi

Har azadaar yeh kar raha hai dua
Aisa Ashoor ho ab ke, Akbar, bapa
Karbala mein mile waaris-e-Karbala
Ya Mehdi, Ya Mehdi

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2011
Personalities
Imam Mahdi, Imam Hussain, Sayyida Zainab, Hazrat Abbas, Ali Akbar, Bibi Sakina
Occasion
Muharram
Themes
Supplication for Imam Mahdi and justice for Karbala
Original language
Urdu
Album
Ya Mehdi Ya Mehdi (ajf) — Volume 2011

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.