Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Allah Ye Kaisa Manzar Hai

Mir Hasan Mir

2010Urdu
2010UrduSayyida ZainabMuharram
Allah Ye Kaisa Manzar Hai, recited by Mir Hasan Mir (2010), is an Urdu noha reflecting on the captivity and suffering of the Ahlulbayt. Read the original Roman lyrics, Urdu script, and an English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Allah Ye Kaisa Manzar Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Allah Ye Kaisa Manzar Hai

Allah Ye Kaisa Manzar Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Allah Ye Kaisa Manzar Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Yeh kaun si mastoora hai, kya maang rahi hai?
Islam ki khidmat ka sila maang rahi hai
Har sahib-e-ghairat se rida maang rahi hai
Pardes mein marne ki dua maang rahi hai
Afsurda hain aflaak, siyaah-posh zameen hai
Jibreel, zara dekh, yeh Zainab to nahin hai?
Allah, Allah, yeh kaisa manzar hai ×2
Be-parda Shaamiyon mein ×2, aulaad-e-Payambar hai
Allah, Allah, yeh kaisa manzar hai ×2

Nida de raha hai yeh hans kar munaadi
Ae logo, gharon se nikal aao jaldi
Saza do inko, yeh baaghi hain, baaghi
Bajte hain shaadiyaane ×2, har haath mein patthar hai
Allah, Allah, yeh kaisa manzar hai ×2

Kahaan khauf khaata hai zaalim kisi se
Bulaata hai ik ik ko woh naam le ke
Har ik Bibi chhupti hai Zainab ke peechhe
Khud ko chhupaaye Zainab ×2, Fizza ki pusht par hai
Allah, Allah, yeh kaisa manzar hai ×2

Bataata hai Shimr aa ke khud Shaamiyon ko
Ke kaata hai main ne isi se saron ko
Dikhaata hai lehra ke phir Bibiyon ko
Haathon mein us shaqi ke ×2, ik khoon-bhara khanjar hai
Allah, Allah, yeh kaisa manzar hai ×2

Hua hai asar itna beenaaiyon par
Ajab kashmakash mein hai Asghar ki maadar
Har ik neza-bardaar ke paas ja kar
Ro ro ke poochhti hai ×2, kya yeh mera Asghar hai?
Allah, Allah, yeh kaisa manzar hai ×2

Aseeron pe kaisi museebat bani hai
Har ik Bibi bazaar mein dhoondhti hai
Sakina kahin bheer mein kho gayi hai
Mehshar se pehle barpa ×2, bazaar mein mehshar hai
Allah, Allah, yeh kaisa manzar hai ×2

Qayamat mein kaisi qayamat hai barpa
Takallum, hai godi mein Asghar ka laasha
Adalat mein Khaaliq ki aati hai Zahra
Nazrein jhuki hain sab ki ×2, nabiyon ke labon par hai [incomplete source line]
Allah, Allah, yeh kaisa manzar hai ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Bibi Sakina, Ali Asghar, Sayyida Fatima Zahra, Hazrat Fizza
Occasion
Muharram
Themes
Captivity of Ahlulbayt, Bazaar of Shaam, Grief of Sayyida Zainab
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.