Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Asghar Main Teri Maa Hoon

Mir Hasan Mir

2018Urdu
2018UrduImam HussainMuharram
Asghar Main Teri Maa Hoon is a 2018 Urdu Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry by Akhtar Hussain Akhtar. Presented through the grieving voice of Bibi Rubab, the lament remembers the martyrdom of her infant son Ali Asghar in Karbala. Its verses portray a mother's longing to hold her child, the burning of his cradle, and the sorrow of separation during the captivity of the Ahlulbayt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Lyrics

Asghar Main Teri Maa Hoon Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Asghar Main Teri Maa Hoon

Asghar Main Teri Maa Hoon

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Asghar Main Teri Maa Hoon

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aaja Asghar, Aaja Asghar ×4

Asghar main teri maa hoon ×2
Aajao chaand mere, teri pyaas main bujhaoon
Asghar main teri maa hoon

Mere laadley kahan ho ×2
Seene tumhein lagaaoon
Asghar main teri maa hoon
Aajao chaand mere, teri pyaas main bujhaoon
Asghar main teri maa hoon

Beta tumhara qaatil mere saamne khada hai
Jaane kyun hans raha hai
Chaadar bhi lut chuki hai
Munh kis tarah chhupaaoon?
Asghar main teri maa hoon
Aajao chaand mere, teri pyaas main bujhaoon
Asghar main teri maa hoon

Tere jhoole ko Sakina ro ro ke choomti hai
Tujhe ghar mein dhoondhti hai
Teri maut ki khabar main
Kaise use sunaaoon?
Asghar main teri maa hoon
Aajao chaand mere, teri pyaas main bujhaoon
Asghar main teri maa hoon

Meri jaan ja rahi hai yeh soch soch Asghar
Is phool se gale par yeh teer kaise jhela?
Behno ko kya bataaoon?
Asghar main teri maa hoon
Aajao chaand mere, teri pyaas main bujhaoon
Asghar main teri maa hoon

Naize se gir raha hai nanha sa sar tumhara
Dil ro raha hai hamara
Mere haath to bandhe hain
Sar kis tarah uthaaoon?
Asghar main teri maa hoon
Aajao chaand mere, teri pyaas main bujhaoon
Asghar main teri maa hoon

Haaye...
Jhoole ke saath beta mere haath jal gaye hain
Zaalim bhi hans rahe hain
Teri aakhri nishaani
Kis tarah se bachaaoon?
Asghar main teri maa hoon
Aajao chaand mere, teri pyaas main bujhaoon
Asghar main teri maa hoon

Jab raat hogi rann mein, ho jaayega andhera
Darna nahi ae beta
Daadi kahengi tumse
Aa main tujhe sulaaoon
Asghar main teri maa hoon
Aajao chaand mere, teri pyaas main bujhaoon
Asghar main teri maa hoon

Tum raat ko hamesha sunte the maa se lori
Ab neend aati hogi
Phir god mein lita kar
Naad-e-Ali sunaaoon
Asghar main teri maa hoon
Aajao chaand mere, teri pyaas main bujhaoon
Asghar main teri maa hoon

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.