Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aye Auno Mohammad

Mir Hasan Mir

2009Urdu
2009UrduSayyida ZainabMuharram
Aye Auno Mohammad, recited by Mir Hasan Mir (2009), is an Urdu noha reflecting on the grief and sacrifices of the Ahlulbayt. Read the original Roman lyrics, Urdu script, and an English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2009
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Aye Auno Mohammad Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aye Auno Mohammad

Aye Auno Mohammad

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Aye Auno Mohammad

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Kehti thi yeh Zainab, yoon maa ka maan nibhaana
Ae Aun-o-Muhammad, ae Aun-o-Muhammad
Shabbir ka tum sadqa ho, ab khaime mein, beta
Tum laut kar na aana, ae Aun-o-Muhammad

Hai maa ko yaqeen tum maa ki baat rakhoge
Yeh yaad rahe, khaimon mein hain pyaase bachche
Darya pe agar jaana ho, seh-roz ke pyaaso
Tum pyaas na bujhaana, ae Aun-o-Muhammad
Ae Aun-o-Muhammad

Har haal mein tum par laazim hai shukr Khuda ka
Ae shehzaado, hai sabr tumhaara wirsa
Farzand ho tum Zainab ke, shikwa nahin karna
Jab zakhm koi khaana, ae Aun-o-Muhammad
Ae Aun-o-Muhammad

Kab hum pe sitam karne ke liye aaye hain [uncertain source]
Yeh Badr-o-Uhud ke badle ke liye aaye hain
Laazim hai rajaz se pehle maidaan mein tum par
Madh-e-Ali sunaana, ae Aun-o-Muhammad
Ae Aun-o-Muhammad

Jab saans tumhaari, bachchon, ho ukharne waali
Us waqt sirhaane aayengi maadar meri
Dil ki yeh meri khwaahish hai us dam meri maa se
Zakhmon ko tum chhupaana, ae Aun-o-Muhammad
Ae Aun-o-Muhammad

Qaatil pe karam Nana ki tarah kar dena
Yoon laaj mere bhai ke naam ki rakhna
Jo waasta de bhai ka maidaan pe us par
Tum tegh na chalaana, ae Aun-o-Muhammad
Ae Aun-o-Muhammad

Jab laashein utha kar khaime mein laaye Sarwar
Zainab yeh boli ashkon ko apne chhupa kar
Main bhi na tumhein roungi, aur mere liye bhi
Aansoo na tum bahaana, ae Aun-o-Muhammad
Ae Aun-o-Muhammad

Taazeem ki khaatir kyun uthe nahin ab, beta?
Dekho to sirhaane aaye hain mere bhaiya
Jaago mere shehzaado, kya bhool gaye ho?
Qadmon pe sar jhukaana, ae Aun-o-Muhammad
Ae Aun-o-Muhammad

Shaabaash mere bachchon, hoon main tum se raazi
Yeh keh ke Takallum khaamosh hui shehzaadi
Nezon pe safar kar ke humraah hamaare
Tumko hai Shaam jaana, ae Aun-o-Muhammad
Ae Aun-o-Muhammad

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2009
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Imam Ali
Occasion
Muharram
Themes
Martyrdom of Aun and Muhammad, Farewell to sons, Battle of Karbala, Aun and Muhammad
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.