Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aye Muslim-e-Ghareeb

Mir Hasan Mir

2014Urdu
2014UrduHazrat Muslim ibn AqilMuharram
Aye Muslim-e-Ghareeb is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, commemorating martyrdom of muslim ibn aqil and grief in kufa. Read the Roman lyrics, original Urdu/Shahmukhi script and English translation with repeated refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Aye Muslim-e-Ghareeb Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aye Muslim-e-Ghareeb

Aye Muslim-e-Ghareeb

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Aye Muslim-e-Ghareeb

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aye Muslim-e-ghareeb ×6

Kar rahi thi laash-e-Muslim pe yeh Zahra buka ×2
Ya Ali, Ya Ali, Kufe mein phir aayi hai rone Sayyida

Aap par jab Ibn-e-Muljim ne kiya sajde mein waar
Haath pehlu par rakhe yahaan aayi thi main pehli baar
Aaj phir us haal mein Zahra ko hai aana pada
Kar rahi thi laash-e-Muslim pe yeh Zahra buka ×2

Kufe waalon ne ise mil kar hai maara Ya Ali
Laash-e-Muslim hai aise paara paara Ya Ali
Jism hai saara mere bachche ka zakhmon se bhara
Kar rahi thi laash-e-Muslim pe yeh Zahra buka ×2

Kis tarah maine sambhaala, kis tarah thaama ise
Kya bataaun, main khari thi haath phailaaye hue
Daar-ul-imaara se jab tha laash-e-Muslim gira
Kar rahi thi laash-e-Muslim pe yeh Zahra buka ×2

Kuchh hi din mein phir yahaan aaungi main roti hui
Iske bachchon par chalegi jab ke Haaris ki chhuri
Main sambhaalungi unhein aakar Ruqaiyya ki jagah
Kar rahi thi laash-e-Muslim pe yeh Zahra buka ×2

Dushmani Aal-e-Nabi se is tarah dikhlaayenge
Yun Muhammad aur Ibrahim maare jaayenge
Naam ka bhi paas rakhenge na kuchh ahl-e-jafa
Kar rahi thi laash-e-Muslim pe yeh Zahra buka ×2

Kar rahe hain zulm ki tafseer yeh chehron ke neel
Kat rahi hai aaj jo dar dar yeh aulaad-e-Aqeel
Hai yaqeenan yeh mere bachchon se ulfat ki saza
Kar rahi thi laash-e-Muslim pe yeh Zahra buka ×2

Bain the Akbar zabaan-e-Sayyida par bas yahi
Saath Zainab ke yahaan phir mujhko aana hai abhi
Shaam tak le jaayega Kufe se gham ka silsila
Kar rahi thi laash-e-Muslim pe yeh Zahra buka ×2

Aye Muslim-e-ghareeb ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Hazrat Muslim ibn Aqil, Sayyida Fatima Zahra, Imam Ali, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram
Themes
Martyrdom of Muslim ibn Aqil, Grief in Kufa
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.