Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Baba Tera Ek Shab Ka Hai Mehmaan Sakina

Shadman Raza

2018Urdu
2018UrduBibi SakinaAshura
Baba Tera Ek Shab Ka Hai Mehmaan Sakina is a poignant Urdu Noha recited by Shadman Raza. The Kalam presents a farewell between Imam Hussain (AS) and Bibi Sakina (SA), anticipating the loneliness and captivity that follow Ashura.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Occasion
Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Baba Tera Ek Shab Ka Hai Mehmaan Sakina Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Baba Tera Ek Shab Ka Hai Mehmaan Sakina

Baba Tera Ek Shab Ka Hai Mehmaan Sakina

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Baba Tera Ek Shab Ka Hai Mehmaan Sakina

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sakina, Sakina

Beti Se Kaha Sheh Ne, Meri Jaan Sakina
Baba Tera Ek Shab Ka Hai Mehmaan, Sakina ×2

Ashoor Ki Ghurbat Mein, Aseeri Ke Safar Mein
Be-Reham Zamane Mein, Rahe Baad-e-Padar Ke ×2
Har Gaam Khuda Tera Nigehbaan, Sakina

Patthar Bhi, Tamacha Kahin, Durra Bhi Lagega
Badlega Kai Rang Tera Phool Sa Chehra ×2
Haan Daur-e-Yateemi Nahi Aasaan, Sakina

Main Aapki Aaghosh Mein Chhup Jaungi Baba
Aur Akbar-o-Abbas Ko Bulwaungi Baba ×2
Tanha To Na Hogi Sar-e-Maidan Sakina

Maqtal Mein Na Kooza Liye Khaali Chali Aana
Abbas Ko Ro Ro Ke Na Dariya Se Bulana ×2
Ho Jayenge Sharminda Chacha Jaan, Sakina

Baba Tera Qatil Kya Musalman Nahi Hai?
Kya Yaad Nabi Ka Use Farman Nahi Hai? ×2
Shabbir Ki Baaton Pe Hai Hairan Sakina

Jal Jayega Ghar Baar To Ghabraogi Bibi
Kal Shab Kahin Baba Ko Na Tum Paogi Bibi ×2
Na Reham Karenge Yeh Musalman, Sakina

Jin Bachchon Ke Jal Jaate Hain Ghar, Sote Hain Kaise?
Mar Jaye Jo Gar Baap To Phir Rote Hain Kaise? ×2
Batlao Na Baba Ke Hai Nadaan Sakina

Kaanon Ke Tere Zakhm Tujhe Sone Na Denge
Zalim Mere Laashe Pe Tujhe Rone Na Denge ×2
Tarsegi Tu Rone Ko, Meri Jaan Sakina

Sone Ki Tere Seene Pe Zid Chhor Ke Baba
So Jayegi Zindaan Ki Zameen Orh Ke Baba ×2
Ho Jayegi Islam Pe Qurbaan Sakina

Sakina, Sakina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Bibi Sakina, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Ali Akbar
Occasion
Ashura
Themes
Farewell of Imam Hussain and Bibi Sakina, Orphanhood of Sakina, Captivity of Ahlul Bayt
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.