Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Beemar-e-Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai

Mir Hasan Mir

2018Urdu
2018UrduImam Zainul AbidinShahadat Imam Zainul Abidin
Beemar-e-Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai is a 2018 Urdu Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Hasnain Akbar and composition by Munawar Ali Khan. The lament mourns the martyrdom and funeral of Imam Zainul Abidin, the surviving Imam of Karbala, recalling his years of grief, the captivity of the Ahlulbayt, the suffering of his father Imam Hussain and the sorrow of his family in Madina.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Occasion
Shahadat Imam Zainul Abidin
Original
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Lyrics

Beemar-e-Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Beemar-e-Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai

Beemar-e-Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Beemar-e-Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Mera beemar Imam ×6
Haye Sajjad, Haye Sajjad ×2

Phir Fatima ke ghar mein farsh-e-aza bichha hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai

Karbobala ka zakhmi Yasrab mein chal basa hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai

Phir Fatima ke ghar mein farsh-e-aza bichha hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai

Zair-e-kafan bhi uski aankhon se khoon hai jaari
Yaad aa rahi hai ghurbat Sajjad ko padar ki
Rauze se Mustafa ke ailaan ho raha hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein farsh-e-aza bichha hai

Baqir se keh raha tha Sadaat ka gharana
Pehlu mein Nana Jaan ke mayyat na le ke jaana
Pehle bhi ek janaza ghar wapas aa chuka hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein farsh-e-aza bichha hai

Ab to Madine waalo tumko sukoon rahega
Royega aur na iski aankhon se khoon bahega
Baba ko rone waala khamosh ho gaya hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein farsh-e-aza bichha hai

Mayyat ke aage aage yeh koi keh raha tha
Bazaar se na guzre Sajjad ka janaza
Bazaar ko yeh qaidi rota hua gaya hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein farsh-e-aza bichha hai

Maara hai is tarah se zaalim ne zehar de ke
Kat kat ke baahar aaye iske jigar ke tukde
Pehlu pe Fatima ke phir zakhm ek laga hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein farsh-e-aza bichha hai

Taboot se lipat kar kehti hai koi bachchi
Zindaan se hai aayi bhaiyya behen tumhari
Aankhein to khol lo ab sar par mere rida hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein farsh-e-aza bichha hai

Akbar jo laash-e-Fizza dafna ke uthe Maula
Aayi sada-e-Zainab, Baqir watan chala ja
Sajjad ka janaza tayyar ho gaya hai
Beemar-e-Karbala ka taboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein farsh-e-aza bichha hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Zainul Abidin, Imam Baqir, Imam Hussain
Occasion
Shahadat Imam Zainul Abidin
Original language
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.