Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bhaiyya Main Aa Gayi Hoon

Mir Hasan Mir

2012Urdu
2012UrduSayyida ZainabMuharram
Bhaiyya Main Aa Gayi Hoon, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2012), is a noha about zainab returns to karbala on chehlum. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Lyrics

Bhaiyya Main Aa Gayi Hoon Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bhaiyya Main Aa Gayi Hoon

Bhaiyya Main Aa Gayi Hoon

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Bhaiyya Main Aa Gayi Hoon

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Chehlum ke liye Bhaiyya aayi hai teri Zainab ×2
Ae mere bhai Hussain ×2
Bhaiyya main aa gayi hoon Nana ka deen bacha ke ×2
Jaaungi ab Madina, Chehlum tera mana ke
Bhaiyya main aa gayi hoon Nana ka deen bacha ke ×2

Maloom hai yeh tumko Zainab ujar chuki hai
Lekin teri shahaadat ghar ghar pahunch gayi hai
Shaabaash do behan ko ×2
Bhaiyya gale laga ke
Bhaiyya main aa gayi hoon

Bhaiyya tumhaari Zainab ab woh nahin rahi hai
Pehchaan loge mujhko? Haalat badal gayi hai
Chalti hai yeh zaeefa ×2
Bhaiyya kamar jhuka ke
Bhaiyya main aa gayi hoon

Sajjad aur Baqir denge gawaahi meri
Khaaye hain taaziyaane Bint-e-Ali ne phir bhi
Le aayi Shaamiyon se ×2
Waaris tere bacha ke
Bhaiyya main aa gayi hoon

Kaise bataaun Bhaiyya bazaar mein jo guzri
Kehte the sab ke maaro, yeh hai Ali ki beti
Baba ke bhi main badle ×2
Sab aayi hoon chuka ke
Bhaiyya main aa gayi hoon

Ummat ne tujh pe Bhai rone kahaan diya hai
Ji bhar ke maine tera maatam kahaan kiya hai
Roegi aaj Zainab ×2
Farsh-e-aza bichha ke
Bhaiyya main aa gayi hoon

Ghar ja ke kya karungi? Pehlu mein hi sula lo
Akbar se keh ke mujhko turbat ki jaa dila do
Maalik ho tum to Bhai ×2
Jaageer-e-Karbala ke
Bhaiyya main aa gayi hoon

Yeh keh ke ae Takallum uthi Ali ki beti
Abbas ki lahad par pahuncha de mujhko koi
Dikhla doon ba-wafa ko ×2
Rassi ke neel ja ke
Bhaiyya main aa gayi hoon

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin, Imam Baqir, Hazrat Abbas
Occasion
Muharram
Themes
Zainab returns to Karbala on Chehlum
Original language
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.