Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Chacha Mai Apki Turbat

Mir Hasan Mir

2017Urdu
2017UrduImam Zainul AbidinMuharram
Chacha Mai Apki Turbat is a 2017 Urdu Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum Mir. Dedicated to Hazrat Abbas Alamdar, the lament portrays Imam Zainul Abidin addressing his uncle while preparing his grave in Karbala. He recounts the suffering of the Prophet's family, the thirst of Bibi Sakina, the loss of the women's veils and the grievous wounds of Abbas. The moving refrain expresses the sorrow of a nephew who has come to fulfil the duties of burial and share the tragedies endured by the surviving family.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Abbas (as) Tera Haq Hai Zamana

Lyrics

Chacha Mai Apki Turbat Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Chacha Mai Apki Turbat

Chacha Mai Apki Turbat

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Chacha Mai Apki Turbat

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Chacha Abbas ×3

Haan

Arey jab dafn karne aaye tan-e-paash-paash ko
Abid pukare dekh ke Ghazi ki laash ko

Chacha main aapki turbat banane aaya hoon
Sakina ab bhi hai pyasi batane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Sakina ab bhi hai pyasi batane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Bataoon kaise Chacha kya guzar gayi hum par
Har ek shehr mein maare gaye hamein patthar
Thin maaen phuphiyan mere saath ae Ali ke pisar
Yeh saare zulm ke qisse sunane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Haram ko chhod ke Kufe se aa raha hoon Chacha
Bata gaye hain tumhari wasiyatein Baba
Wahin ho qabr, chhida tha jahan pe mashkeeza
Kiya tha Sheh se jo waada nibhane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Hai teen roz se laashe pe dhoop ka saaya
Yeh haal dekh ke rota hai khoon dil mera
Ghareeb hoon main kafan tumko de nahi sakta
Haaye, tumhari laash ke tukde uthane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Sakina raah mein naaqe se gir gayi thi abhi
Wahi hai taaza riwayat kamar pe likkhi hui
Hai jaari khoon jo is waqt aidiyon se meri
Laeen se kha ke abhi taaziyane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Tumhare saamne aati hai sharm kehte hue
Yeh baat karta bhala kaise saamne unke
Abhi hain door yahan se Bani Asad wale
Haaye, phuphi ki chhin gayi chaadar batane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Laeen ne bachchi ke gauhar ko aise chheena tha
Giri zameen pe Sakina, main khoon rota tha
Woh jis zameen pe kaanton se khoon tapka tha
Woh khaak rakhne tumhare sirhane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Baghair inke tum utre the zeen se kaise
Haram to lut gaye yeh baazu kat gaye jab se
Pade the door yeh laashe se aapke kab se
Kate yeh baazu badan se milane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Bana ke qabr Takallum woh bola ro ro kar
Yahan pe aayenge ab zaireen shaam-o-sahar
Jale khayaam ki rakh kar lahad pe khaak magar
Haaye, main pehla farsh-e-aza ka bichhane aaya hoon
Chacha main aapki turbat banane aaya hoon ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Zainul Abidin, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Abbas (as) Tera Haq Hai Zamana

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.