Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Chadar Dikha Dikha Kay

Mir Hasan Mir

2019Urdu
2019UrduImam HussainMuharram
Chadar Dikha Dikha Kay is a 2019 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, written by Mir Takallum Mir and composed by Raza Shah. From the Karbala Chalo collection, it portrays the suffering of Bibi Zainab and the Ahlulbayt in the marketplaces of Shaam, recalling their captivity and the loss of their veils.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Karbala Chalo

Lyrics

Chadar Dikha Dikha Kay Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Chadar Dikha Dikha Kay

Chadar Dikha Dikha Kay

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Chadar Dikha Dikha Kay

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Chadar na kafan hai, door watan hai
Beparda behan, haathon mein rasan
Haaye Zainab, haaye haaye bazaar
Chadar na kafan hai, door watan hai
Beparda behan, haathon mein rasan

Abbas ki behan ko Shaami rula rahe hain
Chadar dikha dikha ke
Rasta bana rahi hai Bint-e-Ali ka Fizza
Kaante hata hata ke

Pardes mein kisi par aisa na waqt aaye
Na-mehramon mein koi yun berida na jaye
Karte hain yeh duaein Ahl-e-Haram ke bachhe
Jholi utha utha ke

Bhai behan ki aankhein nam hoti ja rahi hain
Bint-e-Ali ki saansein kam hoti ja rahi hain
Khanjar chala raha hai Zainab ke dil pe zalim
Khanjar dikha dikha ke

Ek bachhi keh rahi hai aao madad ko Baba
Dadi ki tarah main bhi ab ho gayi zaeefa
Zakhmi kiya hai pehlu naaqe se zalimon ne
Mujh ko gira gira ke

Parde mein bhi jo Bibi chalti na thi zyada
Pardes mein ab un par aaya hai waqt kaisa
Laye hain Shaam wale un shehzadiyon ko
Paidal chala chala ke

Woh Shaamiyon ke taane, woh muskurate chehre
Beparda saath apne Bint-e-Ali ko le ke
Sajjad kaise bhoolein us bheer se guzarna
Nazrein jhuka jhuka ke

Jaate hain jis taraf bhi Ahl-e-Haram khule sar
Khati hain pehle durra, khati hain pehle patthar
Apne lahu mein tar hain Zahra ki betiyon ko
Fizza bacha bacha ke

Zakhmon ki woh Takallum tadaad jaante hain
Mehdi ko bhi khabar hai, Sajjad jaante hain
Maare hain kis ne kitne Haider ki laadli ko
Patthar utha utha ke

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Karbala Chalo

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.