Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Darbar Mein Ye Kehti Thi

Mir Hasan Mir

2016Urdu
2016UrduImam HussainMuharram
Darbar Mein Ye Kehti Thi is a Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry attributed to Mir Takallum. Sayyida Zainab appeals for the head of Imam Hussain to be spared humiliation in the tyrant’s court. Explore the Roman Urdu lyrics, Urdu text, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Lyrics

Darbar Mein Ye Kehti Thi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Darbar Mein Ye Kehti Thi

Darbar Mein Ye Kehti Thi

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Darbar Mein Ye Kehti Thi

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Darbaar, haaye darbaar ×2
Haaye darbaar mein yeh kehti thi Zahra ki laadli
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari
Darbaar mein yeh kehti thi Zahra ki laadli
Zaalim, hai haath jor ke yeh iltija meri
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari

Jis din se hum aseer hain, maa saath saath hai
Chehre pe ab Hussain ke amma ka haath hai ×2
Zahra sar-e-Hussain se lipti hai is ghari
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari

Jalti zameen pe Fatima ke dil ke chain ko
Yeh zibh hote dekh chuki hai Hussain ko ×2
Mazloom ke hai saamne beti khari hui
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari

Ek baar bas aseer saron par nigaah kar
Ghazi tarapta hai tere har ek waar par ×2
Tarpa raha hai kyun use marne ke baad bhi
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari

Zulm-o-sitam se tera agar dil nahin bhara
Le khwahar-e-Hussain se badla Hussain ka ×2
De le kuchh aur mujhko saza taaziyānon ki
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari

Zulfein pakar ke pusht se kaata gaya yeh sar
Khuli ke ghar tandoor mein rakkha gaya yeh sar ×2
Aisi bhi kya Nabi ke nawase se dushmani
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari

Pehle hi sar Hussain ka zakhmi hai dekh le
Hum se zyaada woh sar-e-Shabbir ne sahe ×2
Bazaar mein jo barse the patthar abhi abhi
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari

Is sar se ek baal bhi toota kabhi agar
Maa raat bhar tarapti thi pehlu mein baith kar ×2
Zaalim, chala na qalb pe amma ke phir chhuri ×2
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari

Bint-e-Ali ka Mir Takallum tha yeh bayaan
Ab aur le na meri khaamoshi ka imtihaan ×2
Yeh lab hile to hogi qayaamat bapa abhi
Mat maar mere tu labon pe mere bhai ke chhari
Darbaar mein yeh kehti thi Zahra ki laadli

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.