Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

De Ke Aawaz Baap Ko Akbar

Mir Hasan Mir

2015Urdu
2015UrduAli AkbarMuharram
De Ke Aawaz Baap Ko Akbar is a 2015-volume noha recited by Mir Hasan Mir, with lyrics attributed to Mir Takallum. It voices Ali Akbar’s concern that his father Imam Hussain may struggle to reach him and carry his body from the battlefield.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Lyrics

De Ke Aawaz Baap Ko Akbar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

De Ke Aawaz Baap Ko Akbar

De Ke Aawaz Baap Ko Akbar

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

De Ke Aawaz Baap Ko Akbar

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Akbar, haaye Akbar ×2
Baba mere Baba
Haaye Akbar, haaye Akbar
De ke aawaz baap ko Akbar, sochte hain ke aayenge kaise ×2
Larkharaate hue jo aa bhi gaye ×2
Haaye, mera laasha uthaayenge kaise
De ke aawaz baap ko Akbar, sochte hain ke aayenge kaise ×2

Hurr ke bete ki laash par Hurr se keh rahe the abhi yahi Baba
Baap laash-e-jawaan uthaata nahin, iska laasha main khud uthaaunga
Ab wahi marhala hai Baba par, mera laasha uthaayenge kaise
De ke aawaz baap ko Akbar, sochte hain ke aayenge kaise ×2

Ek mehshar bapa tha khaime mein, Maa se jis dam gaya tha main milne
Aa ke Baba ne us ghari daaman khud chhuraaya tha meri behnon se
Mera daaman chhuraana aasaan tha, dil se barchhi chhuraayenge kaise
De ke aawaz baap ko Akbar, sochte hain ke aayenge kaise ×2

Fikr barchhi ki kuchh nahin mujhko, dil mein bas yeh khayaal aata hai
Apne karyal jawaan ke laashe par jeete ji baap mar hi jaata hai
Is zaeefi mein ek saath pidar do janaaze uthaayenge kaise
De ke aawaz baap ko Akbar, sochte hain ke aayenge kaise ×2

Ab main samjha ke kis liye Baba mere seene ko chooma karte the
Haaye, yaad aati thi unko jab Sughra, meri aankhon mein dekha karte the
Gham hai ab mera meri aankhon mein, mujhse nazrein milaayenge kaise
De ke aawaz baap ko Akbar, sochte hain ke aayenge kaise ×2

Aina aina Ali-un-Akbar ki ran mein aawaz jab woh dete hain
Haaye ghurbat Ghareeb-e-Zahra ki dekh ke Shaam waale hanste hain
Raasta unko mujh tak aane ka phir yeh qaatil bataayenge kaise
De ke aawaz baap ko Akbar, sochte hain ke aayenge kaise ×2

Qatl-e-Shabbir ki hai tayyaari, ran mein chamka rahe hain sab khanjar
Haaye barchhi seene mein hai mere lekin, itna majboor bhi nahin Akbar
Shaam ke log mere hote hue Sheh pe khanjar chalaayenge kaise
De ke aawaz baap ko Akbar, sochte hain ke aayenge kaise ×2

Aankh mein ashk, lab pe nauha tha, aye Takallum ajeeb lamha tha
Haaye dil mein woh baar baar kehta tha, aane waala hai qaasid-e-Sughra
Bhai ki laash par mere Baba khat behan ka sunaayenge kaise
De ke aawaz baap ko Akbar, sochte hain ke aayenge kaise ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Personalities
Ali Akbar, Imam Hussain, Bibi Sughra
Occasion
Muharram
Themes
Martyrdom of Ali Akbar, Imam Hussain, Karbala, Father and son
Original language
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.