Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Di Thi Amma Ne Jo Poshaak

Mir Hasan Mir

2014Urdu
2014UrduImam HussainMuharram
Di Thi Amma Ne Jo Poshaak is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, commemorating farewell before ashura and imam hussain and zainab. Read the Roman lyrics, original Urdu/Shahmukhi script and English translation with repeated refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Lyrics

Di Thi Amma Ne Jo Poshaak Lyrics

WA

Alwida, alwida
Ae behan, alwida, alwida, alwida

Di thi Amma ne jo poshaak, woh la do Zainab
Apne haathon se kafan mujhko pehna do Zainab

Aaj maqtal mein faqat baat tumhaari hogi
Abhi Amma se mulaaqaat hamaari hogi ×2
Koi paighaam agar hai to suna do Zainab

Haath paa-band-e-rasan behna tumhaare honge
Mujhko reh reh ke khayaal aata hai laashe se mere ×2
Teer kis tarah nikaalogi, bata do Zainab

Meri laash ki rahegi tumhein pehchaan, behan
Chaak kar do mere kurte ka girebaan, behan ×2
Koi loote na ise, aisa bana do Zainab

Saamne apne Sakina se utarwa lo gauhar
Abhi kuchh der mein lut jaayega mazloom ka ghar ×2
Yeh amaanat kisi goshe mein chhupa lo Zainab

Baahar aane ko na khaime se main kehta tumko
Hote Abbas to takleef na deta tumko ×2
Ban ke Abbas mujhe zeen pe bitha do Zainab

Qaid-khaane ki sambhaalo yeh amaanat, Bibi
God mein lo ise, mazloom ho rukhsat, Bibi ×2
Mera daaman meri bachchi se chhura do Zainab

Jab se Akbar gaye, beenaayi bhi aankhon ki gayi
La ke de do Ali Asghar ki nishaani koi ×2
Kurta be-sheer ka aankhon se laga do Zainab

Ghar se Shabbir janaaze ki tarah se nikle
Sab hi rote the, Takallum, dar-e-khaima pe khare ×2
Sheh ne jis dam kaha, marne ki riza do Zainab

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Hazrat Abbas, Ali Akbar, Ali Asghar
Occasion
Muharram
Themes
Farewell before Ashura, Imam Hussain and Zainab
Original language
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.