Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Do Baar Namaz Shaheed Hui

Mir Hasan Mir

2013Urdu
2013UrduImam AliMuharram
Do Baar Namaz Shaheed Hui is a an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, listed with his 2013 recitations. It reflects on prayer and martyrdom. Read the Roman lyrics, Urdu script and English meaning, with the original refrain sequence preserved.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Do Baar Namaz Shaheed Hui Lyrics

WA

Haaye Ali, haaye haaye Ali ×2
Haaye Hussain ×4
Haaye Ali, haaye Hussain ×2

Do baar namaaz shaheed hui, ek masjid mein, ek maqtal mein ×2
Do baar baha hai khoon-e-Ali, ek masjid mein, ek maqtal mein
Do baar namaaz shaheed hui, ek masjid mein, ek maqtal mein ×2

Ek pyaasa tha, ek roze se
Ek shohar tha, ek beta tha ×2
Zahra pe qayaamat toot gayi, ek masjid mein, ek maqtal mein ×2
Do baar namaaz shaheed hui, ek masjid mein, ek maqtal mein ×2

Ek Bint-e-Ali ka baba tha, ek baap ke jaisa bhai tha
Ek baap ke jaisa bhai tha
Do baar yateem hui bibi, ek masjid mein, ek maqtal mein
Do baar namaaz shaheed hui, ek masjid mein, ek maqtal mein ×2

Ek baar Ali ko chhurwaane, ek baar Hussain ke sirhaane
Ek baar Hussain ke sirhaane
Roti hui aayi Bint-e-Nabi, ek masjid mein, ek maqtal mein ×2
Do baar namaaz shaheed hui, ek masjid mein, ek maqtal mein

Ek baap ko ghar mein laate hue, ek zeen se zameen par aate hue
Ek zeen se zameen par aate hue
Sarwar ne sada Abbas ko di, ek masjid mein, ek maqtal mein ×2
Do baar namaaz shaheed hui, ek masjid mein, ek maqtal mein

Ek baar Ali ki mayyat par, ek Shimr-e-laeen ki zarbat par
Ek Shimr-e-laeen ki zarbat par
Ghash kha ke gire do baar Nabi, ek masjid mein, ek maqtal mein ×2
Do baar namaaz shaheed hui, ek masjid mein, ek maqtal mein

Ek Masjid-e-Umawi ke andar, ek baar Hussain ke laashe par
Ek baar Hussain ke laashe par
Be-parda gayi hai Bint-e-Ali, ek masjid mein, ek maqtal mein ×2
Do baar namaaz shaheed hui, ek masjid mein, ek maqtal mein

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram
Themes
Prayer and martyrdom
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.