Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Do Hausla Baba Zainab Ko

Mir Hasan Mir

2011Urdu
2011UrduSayyida ZainabMuharram
Do Hausla Baba Zainab Ko, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2011), is a noha about sayyida zainab and the captivity of the ahlulbayt. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2011
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Mehdi Ya Mehdi (ajf) — Volume 2011

Lyrics

Do Hausla Baba Zainab Ko Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Do Hausla Baba Zainab Ko

Do Hausla Baba Zainab Ko

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Do Hausla Baba Zainab Ko

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Zainab ne kaha yeh ro ro kar, do hausla Baba Zainab ko
Tanha hai laeenon mein dukhtar, do hausla Baba Zainab ko

Baba, main bari beti hoon teri, sab badla lenge mujh se tera
Logon ke badalte hain tewar, do hausla Baba Zainab ko

Yeh Zainab hai, Kulsoom hai yeh, aapas mein sitamgar kehte hain
Hanste hain tamaashaayi hum par, do hausla Baba Zainab ko

Himmat yoon barhaao beti ki, Abid ko bacha kar le jaaye
Har ghar se baraste hain patthar, do hausla Baba Zainab ko

Ehsaas rida ka hoga mujhe, tum haath mere sar par rakh do
Mushkil hai agar dena chaadar, do hausla Baba Zainab ko

Logon ki nigaahein uthti hain, tashheer ki zarbein lagti hain
Beti hai teri zer-e-khanjar, do hausla Baba Zainab ko

Darbaar ke us darwaaze par Amma ko sambhaala tha tumne
Darbaar ke is darwaaze par do hausla Baba Zainab ko

Boli woh Takallum, logon mein Amma ko bulaaun to kaise
Beti ke liye ban kar chaadar, do hausla Baba Zainab ko

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2011
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Ali, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Sayyida Zainab and the captivity of the Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Ya Mehdi Ya Mehdi (ajf) — Volume 2011

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.