Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Fatima Ke Dono Pisar

Mir Hasan Mir

2014Urdu
2014UrduImam HasanMuharram
Fatima Ke Dono Pisar is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, commemorating martyrdom and suffering of hasan and hussain and grief of fatima. Read the Roman lyrics, original Urdu/Shahmukhi script and English translation with repeated refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Lyrics

Fatima Ke Dono Pisar Lyrics

WA

Haaye Hasan, haaye Hussain ×8
Ajeeb haal mein hain Fatima ke dono pisar ×2
Haaye Hasan, haaye Hussain ×2
Hasan ke teer badan mein, Hussain teeron par
Ajeeb haal mein hain Fatima ke dono pisar ×2

Hasan ko dekha hai Qasim ne khoon ugalte hue ×2
Sakina dekhti hai baap ko tah-e-khanjar
Haaye Hasan, haaye Hussain ×2
Ajeeb haal mein hain Fatima ke dono pisar ×2

Na jaane dekhe hain Zainab ne tasht mein kaise ×2
Jigar ke tukre Hasan ke, kabhi Hussain ka sar
Haaye Hasan, haaye Hussain ×2
Ajeeb haal mein hain Fatima ke dono pisar ×2

Hasan ne jaate hue choome baazu Zainab ke ×2
Hussain jaate hue choomte rahe chaadar
Haaye Hasan, haaye Hussain ×2
Ajeeb haal mein hain Fatima ke dono pisar ×2

Hasan ke bete ke ummat ne kar diye tukre ×2
Hussain laate hain tukre woh saare chun chun kar
Haaye Hasan, haaye Hussain ×2
Ajeeb haal mein hain Fatima ke dono pisar ×2

Udhar Hasan ke janaaze par phool teeron ke ×2
Idhar Hussain ki laash pe nazr hain patthar
Haaye Hasan, haaye Hussain ×2
Ajeeb haal mein hain Fatima ke dono pisar ×2

Udhar Hasan ka janaaza phiraaya galiyon mein ×2
Sar-e-Hussain phiraaya gaya idhar dar dar
Haaye Hasan, haaye Hussain ×2
Ajeeb haal mein hain Fatima ke dono pisar ×2

Tarap rahe hain janaaze kuchh aur yun Akbar ×2
Ke teer kheench rahi hai badan se khud maadar
Haaye Hasan, haaye Hussain ×2
Ajeeb haal mein hain Fatima ke dono pisar ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Hasan, Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra, Hazrat Qasim, Bibi Sakina, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram
Themes
Martyrdom and suffering of Hasan and Hussain, Grief of Fatima
Original language
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.