Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Habib Aa Jao

Mir Hasan Mir

2018Urdu
2018UrduImam HussainMuharram
Habib Aa Jao is a 2018 Urdu Noha recited by Mir Hasan Mir and written by Mir Takallum Mir. Set in the days before Ashura, the poem imagines Imam Hussain's appeal to his faithful companion Habib ibn Mazahir to come to Karbala. Each verse conveys the loneliness of Hussain's household, the uncertainty surrounding Muslim ibn Aqeel in Kufa, and the family's trust in Habib's loyalty.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Lyrics

Habib Aa Jao Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Habib Aa Jao

Habib Aa Jao

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Habib Aa Jao

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ae Faqeeh-e-Hussain, ae Habeeb-e-Hussain
Habeeb ibn-e-Mazahir
Ae Faqeeh-e-Hussain, ae Habeeb-e-Hussain

Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao ×2
Tumhara dost hai tanha, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Shaheed kaise hua woh bataoge aakar
Tum haal-e-Muslim-e-bekas sunaoge aakar
Ruqayya takti hai rasta, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Lagao is se bhi andaaze meri ghurbat ke
Jahan pe Ibn-e-Ali likhna tha wahan maine
Diya hai maa ka hawala, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Bata raha tha use koi bhi nahi hai mera
To boli Sani-e-Zahra, Habeeb aayega
Hai usko tum pe bharosa, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Woh jab yeh sunti hai Koofe se aa rahe hain shaqi
To poochhti hai hamara bhi aayega koi?
Duaayein degi Sakina, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Gawara kar nahi sakti Hussain ki ghairat
Tumhari zauja ki chaadar ko loot le ummat
Tum usko chhod ke Koofa, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Mujhe hai yaad woh lamha jo Rab ki marzi se
Tum ho ke zinda meri baat sunne aaye the
Bula raha hoon dobara, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Dar-e-Batool dobara jalaya jaayega
Tumhare dost pe khanjar chalaya jaayega
Nahi hai waqt zyada, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Chamakte chaand ki humko bhi deed ho jaaye
Tum aao to mere bachchon mein Eid ho jaaye
Bahut udaas hai kunba, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Yeh khat nahi, ise behnon ki aarzu samjho
Hamare lafzon ko Zainab ki guftagu samjho
Behen yeh kehti hai bhaiya, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Behen ne usko Takallum jo bhai samjha tha
Pukari Shaam-e-Ghareebaan mein Sani-e-Zahra
Hamara lut-ta hai parda, Habeeb aa jao
Yeh khat mein Shah ne likha Habeeb aa jao

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.