Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Qasim

Mir Hasan Mir

2015Urdu
2015UrduHazrat QasimMuharram
Haye Qasim is a noha recited by Mir Hasan Mir for the Volume 2015 collection. It mourns Qasim ibn Hasan in Karbala and the sorrow of Imam Hussain as the young martyr’s body is brought back.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Lyrics

Haye Qasim Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haye Qasim

Haye Qasim

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Haye Qasim

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Qasim, haaye Qasim ×3
Dasht mein Ibn-e-Hasan par waqt kaisa aa gaya ×2
Ek gathri mein faqat ×2 Qasim ka laasha aa gaya
Dasht mein Ibn-e-Hasan par waqt kaisa aa gaya ×2

Chaar kaandhon par janaaza ghar mein aata hai magar ×2
Ek hi kaandhe pe yeh kiska janaaza aa gaya
Dasht mein Ibn-e-Hasan par waqt kaisa aa gaya ×2

Jis tarah chunta hai maali phool apne baagh se ×2
Tukre yun Qasim ke chunne mera Maula aa gaya
Dasht mein Ibn-e-Hasan par waqt kaisa aa gaya ×2

Choom kar taweez Sarwar der tak rote rahe ×2
Bhai ke lafzon mein jaane yaad kya kya aa gaya
Dasht mein Ibn-e-Hasan par waqt kaisa aa gaya ×2

Aa gayi baaraat ran se, ro ke Fizza ne kaha ×2
Bibiyo, taazeem ko uth jaao, dulha aa gaya
Dasht mein Ibn-e-Hasan par waqt kaisa aa gaya ×2

Laash ko tarteeb jab dene laga Zahra ka laal ×2
Baarha Maula ki aankhon mein andhera aa gaya
Dasht mein Ibn-e-Hasan par waqt kaisa aa gaya ×2

Baap ka taweez tha bete ke baazu par bandha ×2
Is liye pehchaan mein Qasim ka laasha aa gaya
Dasht mein Ibn-e-Hasan par waqt kaisa aa gaya ×2

Maatami ke ghar mein Akbar jab koi dulha bana ×2
Yaad sab ko Karbala waale ka sehra aa gaya
Dasht mein Ibn-e-Hasan par waqt kaisa aa gaya ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Personalities
Hazrat Qasim, Imam Hussain, Imam Hasan, Hazrat Fizza
Occasion
Muharram
Themes
Martyrdom of Qasim, Karbala, Mourning
Original language
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.