Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Syeda Tu Ne Chain Ek Pal Na Paya

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Haye Syeda Tu Ne Chain Ek Pal Na Paya laments the sorrows of Sayyida Fatima Zahra and celebrates her place in the Prophet’s household, her patience in hardship and the enduring tradition of mourning and remembrance.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Haye Syeda Tu Ne Chain Ek Pal Na Paya Lyrics

WA

Haye Syeda Tu Ne Chain Ek Pal Na Paya
Bachpana Hi Tha Sar Se Maa Ka Uth Gaya Saaya

Para-e-Risaalat Hai Zeenat-e-Wilayat Hai
Teri Zaat Se Qayam Hashr Tak Imaamat Hai
Ta-Abad Saron Par Hai Tere Noor Ka Saaya

Do Jahaan Mein Waahid Syeda Hai Woh Mazloom
Baap Ki Wiraasat Se Jis Ko Kar Diya Mehroom
Ummat-e-Muhammad Ne Haye Kya Sitam Dhaaya

Yeh Atal Haqeeqat Hai Kaise Chup Rahein Hum Log
Bol Aye Zamaane Bol Is Ko Kya Kahein Hum Log
Haq Ke Naam Par Jis Ne Ain-e-Haq Ko Jhutlaaya

Bachpane Se Aadi Thi Yun To Gham Uthaane Ki
Saath Baap Ke Jheelein Sakhtiyaan Zamaane Ki
Tujh Pe Is Zamaane Ne Kya Sitam Nahin Dhaaya

Phir Raha Hai Nazron Mein Woh Shikasta Dar Tera
Baad-e-Ahmad-e-Mursal Kis Kis Ne Munh Phera
Yaad Kar Ke Woh Manzar Kaun Kaun Yaad Aaya

Bayt-e-Huzn Ki Taameer Aur Yeh Azadari
Yeh To Teri Sunnat Hai Aye Rasool Ki Pyaari
Haq Ki Chaah Mein Rona Tu Ne Hum Ko Sikhlaaya

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad, Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Themes
Sorrow of Sayyida Fatima Zahra, Patience and devotion, Mourning and remembrance
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.