Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ho Gayi Aah Be-Pidar Zainab

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduSayyida ZainabShahadat Imam Ali
Ho Gayi Aah Be-Pidar Zainab mourns the loss of Imam Ali and portrays Sayyida Zainab’s lifelong grief, courage and approaching trials in Kufa and Shaam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Shahadat Imam Ali, Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Ho Gayi Aah Be-Pidar Zainab Lyrics

WA

Ho Gayi Aah Be-Pidar Zainab
Kam Hai Ab Roye Jis Qadar Zainab

Aaj Hai Farsh-e-Gham Pe Ahl-e-Aza
Baap Ke Gham Mein Nauha-Gar Zainab

Hil Raha Hai Mazaar Roti Hai
Maa Ki Turbat Pe Khole Sar Zainab

Rok Le Aansuon Ko Apne Zara
Ab To Rona Hai Umr Bhar Zainab

Dekhna Ek Din Dikhayegi Shaam
Tujhko Yehi Sahar Zainab

Ibtida Hai Abhi To Kufe Mein
Tujhko Hona Hai Dar-Ba-Dar Zainab

Majma-e-Aam Hoga Galiyon Mein
Aur Hoga Barehna Sar Zainab

Tere Naalon Se Ho Raha Hai Bapa
Ek Kohraam Arsh Par Zainab

Syeda Aa Gayi Hain Jannat Se
Saara Matam-Kada Hai Ghar Zainab

Karte Hain Jis Tarah Yateem Basar
Ab Karo Umr Yun Basar Zainab

Raunaqein Uth Rahi Hain Duniya Ki
Ja Raha Hai Tera Pidar Zainab

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Ali, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Shahadat Imam Ali, Muharram
Themes
Zainab’s bereavement, Loss of a father, Patience in grief
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.