Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hum Kaise Chale Jaayen

Mir Hasan Mir

2012Urdu
2012UrduImam HussainMuharram
Hum Kaise Chale Jaayen, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2012), is a noha about loyalty of the companions on the night of ashura. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Lyrics

Hum Kaise Chale Jaayen Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hum Kaise Chale Jaayen

Hum Kaise Chale Jaayen

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Hum Kaise Chale Jaayen

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Ibn-e-Zahra, roohi wa jismi lakal fida ×2
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain
Ya Ghareeb, Ya Hussain ×2
Ashoor ki shab karte the ashaab yeh nauha ×2
Hum kaise chale jaayen ×2
Tumhein chhor ke Maula

Kooze liye haathon mein hain masoom se bachche
In pyaason ko paani ki bari aas hai hum se
Mar jaayenge yeh gar hamein jaate hue dekha
Hum kaise chale jaayen, tumhein chhor ke Maula

Maana ke zaroorat nahin Hazrat ko hamaari
Abbas sa bhai hai hifaazat ko tumhaari
Zahra ko magar phir bhi hai munh humne dikhaana
Hum kaise chale jaayen, tumhein chhor ke Maula

Aankhon mein nazar aati hai bachchi ki ghareebi
Darti hai ke tanhaai na barh jaaye padar ki
Aa aa ke hamein takti hai hasrat se Sakina
Hum kaise chale jaayen, tumhein chhor ke Maula

Jis roz se aabaad kiya tumne yeh jangal
Ek Bibi yahaan roti hai raaton ko musalsal
Lagta hai lahad chhor ke khud aayi hai Zahra
Hum kaise chale jaayen, tumhein chhor ke Maula

Kya aalam-e-ghurbat Nabi-zaadi pe para hai
Kehne ki nahin baat magar humne suna hai
Hai aap ki Zainab ko bahut hum pe bharosa
Hum kaise chale jaayen, tumhein chhor ke Maula

Seena Ali Akbar ka bahut choom rahe ho
Jo tum pe guzarti hai woh maloom hai humko
Hum log bhi to saahib-e-aulaad hain Aaqa
Hum kaise chale jaayen, tumhein chhor ke Maula

Akbar jo diye khaime mein Ghazi ne jalaaye
Tha aisa samaa Sheh ke bhi aansoo nikal aaye
Talwaar gale par rakhe har shakhs tha kehta
Hum kaise chale jaayen, tumhein chhor ke Maula

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain, Hazrat Abbas, Sayyida Fatima Zahra, Sayyida Zainab, Bibi Sakina
Occasion
Muharram
Themes
Loyalty of the companions on the night of Ashura
Original language
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.