Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hussain Chup Hai

Mir Hasan Mir

2010Urdu
2010UrduImam HussainMuharram
Hussain Chup Hai, recited by Mir Hasan Mir (2010), is an Urdu noha reflecting on the grief and sacrifices of the Ahlulbayt. Read the original Roman lyrics, Urdu script, and an English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Hussain Chup Hai — Volume 2010

Lyrics

Hussain Chup Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hussain Chup Hai

Hussain Chup Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Hussain Chup Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain, haaye Hussain
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai
Khuda ki marzi mein sar jhuka kar, Hussain chup hai
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai

Yeh sabr ki kaun si hai manzil, pisar ka barchhi se chhid gaya dil
Woh hans raha hai sirhaane qaatil, ya Hussain
Uthaaye haathon pe laash-e-Akbar, Hussain chup hai
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai

Khara hai laakhon mein woh akela, chalaaye jaate hain teer aada
Kahin se barchhi, kahin se bhaala, ya Hussain
Baras rahe hain kahin se patthar, Hussain chup hai
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai

Laga hai kyun mere dil ko dharka, lahu se kis ke yeh tar hai chehra
Kahaan hai Asghar, bataaiye Maula, ya Hussain
Sawaal Asghar ki maa ka sun kar, Hussain chup hai
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai

Naseeb-e-Raahib jo Sheh ne badla, wahaan pe khaamosh Kibriya tha
Magar yeh manzar hai Karbala ka, ya Hussain
Yahaan pe de kar Khuda ko Akbar, Hussain chup hai
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai

Kaha yeh qaasid ne ro ke Maula, mareez beti ka khat hoon laaya
Salaam sab ko hai us ne likha, ya Hussain
Salaam ka bas jawaab de kar, Hussain chup hai
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai

Hue hain zakhmon se choor Maula, badan se behta hai khoon ka darya
Kahe to rakh doon ulat ke duniya, ya Hussain
Madad ko aaya hai ran mein Zaafar, Hussain chup hai
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai

Lari akele mein woh laraai, duhaai dene lagi khudaai
Sada jo hi irji'i ki aayi, ya Hussain
Niyaam mein Zulfiqar rakh kar, Hussain chup hai
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai

Hussain, Gohar yeh jaanta hai, safar yeh chaudah-sau saal ka hai
Sitam jo ab tak woh seh raha hai, ya Hussain
Laraaz is mein koi to Akbar [unclear source wording], Hussain chup hai
Ya ghareeb Imam, ya ghareeb ya Hussain
Ujar gaya hai Batool ka ghar, Hussain chup hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Personalities
Imam Hussain, Ali Akbar, Ali Asghar, Bibi Sughra, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Muharram
Themes
Patience of Imam Hussain, Battle of Karbala, Grief of Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Hussain Chup Hai — Volume 2010

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.