Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Jab Suni Bano Ne Roodad-e-Alamdar-e-Hussain

Mir Anees

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Jab Suni Bano Ne Roodad-e-Alamdar-e-Hussain is a traditional Urdu marsiya mourning the martyrdom of Hazrat Abbas (AS) in Karbala. The elegy portrays the grief of Bibi Bano, Imam Hussain (AS), and Ali Akbar (AS) after the loss of the Alamdar, remembering his severed arms and water-skin pierced by arrows. Read the four-stanza version in Roman Urdu, Urdu and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Jab Suni Bano Ne Roodad-e-Alamdar-e-Hussain Lyrics

WA

Jab Suni Bano Ne Roodad-e-Alamdar-e-Hussain
Yaani Be-Jaan Hua Darya Pe Woh Ghamkhwar-e-Hussain
Ghair-e-Asghar Na Raha Koi Madadgar-e-Hussain
Ro Ro Kehne Lagi Tab Banu-e-Lachar-e-Hussain
Khoon Mein Tar Dekhi Jo Abbas Ki Surat Hogi
Kaisi Bhai Ke Liye Bhai Ko Riqqat Hogi

Tukre Tukre Jo Baradar Nazar Aaya Hoga
Quwwat-e-Bazu Ko Bazu Kate Paya Hoga
Laasha Kis Shaan Se Chhati Se Lagaya Hoga
Apna Munh Khoon Bhare Chehre Se Milaya Hoga
Sar-Nigun Hoga Alam Khaak Bhari Hogi
Mashk Teeron Se Chhidi Paas Dhari Hogi

Yeh Woh Kehti Thi Ke Rote Hue Sarwar Aaye
Dekh Ke Unko Munh Bibiyon Ke Bhar Aaye
Sar-Nigun Khaak-Basar Khaime Ke Andar Aaye
Aur Chacha Ke Liye Rote Hue Akbar Aaye
Ya To Abbas Ke Matam Mein Bayan Hone Lage
Dekh Kar Zauja-e-Abbas Ko Shah Rone Lage

Kaha Ae Bhabhi Nadamat Hai Mujhe Tum Se Kamaal
Ja Ke Abbas Hue Qatl Ba-Maidan-e-Qital
Ab Main Jeeta Rahun Bin Un Ke Na Keejo Khayal
Koi Dam Mein Hamara Hai Jo Un Ka Hua Haal
Waada Jald Aane Ka Aada Se Kiye Aaya Hoon
Mujh Ko Rukhsat Do Ke Rukhsat Ke Liye Aaya Hoon

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.