Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kar Madad Meri Baqir Beta

Mir Hasan Mir

2013Urdu
2013UrduImam Zainul AbidinMuharram
Kar Madad Meri Baqir Beta is a an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, listed with his 2013 recitations. It reflects on burial of bibi sakina in captivity. Read the Roman lyrics, Urdu script and English meaning, with the original refrain sequence preserved.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Lyrics

Kar Madad Meri Baqir Beta Lyrics

WA

Sakina mar gayi ×2
Haaye!
Sakina mar gayi, zindaan mein jab yeh shor utha
Alam se dard tha, us gham mein har ek ka chehra
Qareeb laash-e-hamsheer bhai jab pahuncha
Bandhe the haath, badan tauq se larazta tha
Na uth saka jo janaaza behen ka bhai se
To ro ke bete se Sajjad phir yeh kehne lage

Kar madad meri Baqir beta, hamsheer ki qabr banaaun main ×2
Zanjeer uthao tum meri ×2
Aur iski laash uthaaun main
Kar madad meri Baqir beta, hamsheer ki qabr banaaun main ×2

Dada ne bari mazloomi mein tha Dadi ko dafnaaya
Lekin woh Madina tha Baqir, aur yeh hai des paraaya
Is chaar baras ki Zahra ko ghurbat mein kahaan dafnaaun main
Kar madad meri Baqir beta, hamsheer ki qabr banaaun main ×2

Jo gham se bhari thi Maadar ki nazron se chhupa di maine
Ek saans thi jo gardan mein rassi, woh hata di maine
Gardan pe bane jo rassi se kaise woh neel chhupaaun main
Kar madad meri Baqir beta, hamsheer ki qabr banaaun main ×2

Mil jaaye agar waapas mujhko woh teri rida aur gauhar
Baba ki lahad par rakh doon ya Sughra ko doon waapas jaakar
Woh dono amaanat hain teri, batla de kise pahunchaaun main
Kar madad meri Baqir beta, hamsheer ki qabr banaaun main ×2

Jab tumko rihaai mil jaaye, phuphiyon ko watan pahunchaana
Reh lenge yahin hum bhai-behen, tum qaafla ghar le jaana
Dafnaate hue is bachchi ko zindaan mein agar mar jaaun main
Kar madad meri Baqir beta, hamsheer ki qabr banaaun main ×2

Dono ko juda main kaise karoon, himmat hi nahin yeh meri
Hai aapke sar se lipti hui bejaan yeh aapki beti
Kya saath Sakina ke Baba, sar aapka bhi dafnaaun main
Kar madad meri Baqir beta, hamsheer ki qabr banaaun main ×2

Taweez-e-lahad ko baandh kiya Aabid ne keh kar, Akbar
Keh do yeh haram se, ae Baqir, sab royen yahaan par aakar
Turbat pe chhirakne ki khaatir ab paani kahaan se laaun main
Kar madad meri Baqir beta, hamsheer ki qabr banaaun main ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Personalities
Imam Zainul Abidin, Imam Baqir, Bibi Sakina, Imam Hussain
Occasion
Muharram
Themes
Burial of Bibi Sakina in captivity
Original language
Urdu
Album
Ya Aba Abdullah (a.s) — Volume 2013

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.