Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Karbala Chalo

Mir Hasan Mir

2019Urdu
2019UrduImam HussainMuharram
Karbala Chalo is the title noha from Mir Hasan Mir's 2019 devotional album, written by Mir Takallum Mir. It invites mourners to visit the shrine of Imam Hussain in Karbala, especially during Arbaeen, remembering the martyrs, the suffering of the Ahlulbayt and the spiritual significance of the walk from Najaf.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original
Urdu
Album
Karbala Chalo

Lyrics

Karbala Chalo Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Karbala Chalo

Karbala Chalo

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Karbala Chalo

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Karbala chalo, Karbala chalo, Karbala chalo
Karbala Karbala Karbala ×2
Allahummar-zuqna Ziyarat-al-Hussain ×2

Karbala chalo, Karbala chalo ×4
Karbala chalo, Karbala chalo ×4
Karbala chalo, Karbala chalo, Karbala chalo ×2

Lo aa gaya bulawa ×2
Mazloom-e-Karbala ka

Maa muntazir hai bete ke ghamkhwar aayenge
Aa kar mere Hussain pe aansu bahayenge
Bint-e-Rasool takti hai ×2
Tum sab ka raasta, Karbala chalo

Zahra ka laal qabr mein hasrat yeh le gaya
Akbar ka kalma-goyon ne pursa nahi diya
Ab Sheh ko pursa dena hai ×2
Karyal jawan ka, Karbala chalo

Ji bhar ke apne bhai ko Zainab na ro saki
Majlis zameen-e-Karb-o-Bala par na ho saki
Armaan-e-Sayyeda mein ×2
Bichha dein saf-e-aza, Karbala chalo

Khanjar tale Hussain ki aahein gawah hain
Hal min mugheesuna ki sadaein gawah hain
Kab se humein bulata hai ×2
Zahra ka laadla, Karbala chalo

Jis khaak ne chhupaya tha Bint-e-Ali ka sar
Jis ne kafan banaya tha laash-e-Hussain par
Us Karbala ki khaak ka ×2
Karne ko shukriya, Karbala chalo

Baazu kata ke jis jagah Abbas so gaye
Armaan Bawafa ke jahan dafn ho gaye
Aansu wahan girayenge ×2
Paani jahan gira, Karbala chalo

Qismat se waqt aayega jab yeh hayaat mein
Tum apni betiyon ko bhi le jaana saath mein
Akbar ko woh sunayengi ×2
Sughra ka marsiya, Karbala chalo

Ek saal baad bhai ka sar jis ghari mila
Abid se ro ke kehti thi yeh Bint-e-Sayyeda
Dafnaungi main haathon se ×2
Sar apne bhai ka, Karbala chalo

Chehlum bhi apne baap ka bachhi na kar saki
Roti hui woh Shaam ke zindaan mein mar gayi
Aye kaash koi keh de Sakina se yeh zara
Karbala chalo

Labbaik, Labbaik, Labbaik Ya Hussain ×2
Hala bikum ya zuwwari, hala bikum
Abadan wallah ya Zahra ma nansa Hussaina

Is saal Arbaeen pe aisa ho ehtemam
Aye kaash zaeron mein ho shamil hamara naam
Aur de humein bhi Hazrat-e-Abbas yeh sada
Karbala chalo

Ghurbat musafiron ki musafir samajh sakein
Kaise chali thi Bibiyan andaza ho humein
Aansu bahate shehr-e-Najaf se piyadah-pa
Karbala chalo

Chehlum pe jaise aati hai Zainab bhi Shaam se
Izn-e-safar mile jo Takallum Imam se
Har ek qadam zahoor ki karte hue dua
Karbala chalo

Allahummar-zuqna Ziyarat-al-Hussain
Karbala chalo, Karbala chalo, Karbala chalo

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Karbala Chalo

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.