Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Karbala Walo

Mir Hasan Mir

2025Urdu
2025UrduImam HussainMuharram
Karbala Walo is a 2025 Muharram Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum Mir. It honours the martyrs of Karbala, their thirst and sacrifice, the grief of Sayyida Fatima Zahra, and the enduring remembrance of Ahlul Bayt. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Karbala Walo Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Karbala Walo

Karbala Walo

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Karbala Walo

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain ×6

Karbala Walo, Haye ×2

Tumhara Gham Rahe Zinda Hamesha
Karbala Walo
Duaein Deti Hain Tum Sab Ko Zahra
Karbala Walo
Lahoo Mein Doob Kar Apne
Kiya Sairaab Darya Ko
Tumhari Pyaas Ka Ab Tak Hai Charcha

Koi Pyaasa Nahin Duniya
Mein Ab Itni Sabeelen Hain
Tumhara Ho Gaya Saara Zamana

Ae Chaand Karbala Ke
Tu Ne To Dekhe Honge
Utre The Is Zameen Par
Arsh-e-Bareen Ke Taare
Ae Chaand

Hum Apne Marne Walon Ka
Bhi Gham Karte Nahin Is Mein
Muharram Hai Tumhara Aur Rahega

Imam-e-Asr Se Keh Do
Kisi Soorat Chalein Aayein
Sakina Shaam Mein Ab Tak Hai Tanha

Khuda Par Baat Aa Jaaye
To Sar Pyara Nahin Karte
Sikhaya Tum Ne Yeh Sab Ko Saleeqa

Tumhare Naam Ki Majlis
Har Ek Shaadi Mein Hoti Hai
Khushi Mein Bhi Tumhara Gham Hai Taaza

Tumhara Marte Dam Tak Raasta
Takti Rahi Sughra
Madine Tum Nahin Aaye Dobara

Na Jaane Kitne Din Karti
Rahi Hai Dhoop Sehra Ki
Tumhari Be-Kafan Laashon Pe Saaya

Ali Ki Betiyon Ke Saath Patthar
Tum Ne Khaaye Hain
Gaye Naizon Pe Jab Tum Shaam-o-Kufa

Kahin Paani Pilane Par
Takallum Ko Bhi Rakh Lena
Jahaan Mein Aaoge Jab Tum Dobara

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra, Bibi Sakina, Bibi Sughra, Imam Mahdi, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram
Themes
Martyrs of Karbala, Remembrance of Ahlul Bayt, Thirst and sacrifice, Mourning and majlis
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.