Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kisne Kiya Chhalni Mere Bachche Ka Janaza

Mir Hasan Mir

2011Urdu
2011UrduImam HasanMuharram
Kisne Kiya Chhalni Mere Bachche Ka Janaza, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2011), is a noha about funeral of imam hasan. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2011
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Kisne Kiya Chhalni Mere Bachche Ka Janaza Lyrics

WA

Kisne kiya chhalni mere bachche ka janaaza ×2
Mayyat pe Hasan ki yehi Zahra ka tha nauha, haaye
Kisne kiya chhalni mere bachche ka janaaza ×2

Jeete ji chain se kabhi jeene nahin diya
Ab zehr de diya hai to hai dafn pe jhagra
Zinda ko sataaya kabhi, mayyat ko sataaya
Kisne kiya chhalni mere bachche ka janaaza ×2

Turbat pe Baba jaan ki kehti rahi dukhtar
Aayi hoon teri qabr pe teeron se guzar kar
Baba, meri aulaad hai aur ahl-e-Madina
Kisne kiya chhalni mere bachche ka janaaza ×2

Aisa koi jahaan mein laasha nahin hoga
Ghar se nikal ke ghar mein jo phir laut ke aaya
Koi mujhe bataaye ke kya zulm tha iska
Kisne kiya chhalni mere bachche ka janaaza ×2

Kuch der qabl dekha tha khoon munh se ugalte
Ab dekhti hoon main lahu behta hai kafan se
Ummat ne kaisa ajr yeh Baba mujhe diya
Kisne kiya chhalni mere bachche ka janaaza ×2

Mehshar jab main aaungi Haider ke saath mein
Parwardigaar, us ghari Zahra ke haath mein
Ek khoon-bhara kafan hoga, ek khoon-bhara kurta
Kisne kiya chhalni mere bachche ka janaaza ×2

Mayyat pe Hasan ki yehi Zahra ka tha nauha, haaye
Kisne kiya chhalni mere bachche ka janaaza ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2011
Personalities
Imam Hasan, Sayyida Fatima Zahra, Imam Ali
Occasion
Muharram
Themes
Funeral of Imam Hasan
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.