Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kohram Mach Gaya

Mir Hasan Mir

2011Urdu
2011UrduImam HussainMuharram
Kohram Mach Gaya, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2011), is a noha about farewell of imam hussain on ashura. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2011
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ya Mehdi Ya Mehdi (ajf) — Volume 2011

Lyrics

Kohram Mach Gaya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kohram Mach Gaya

Kohram Mach Gaya

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Kohram Mach Gaya

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Alwida, alwida
Khaime mein aake Shah ne jab alwida kaha
Kohraam mach gaya

Tha jiska intezaar woh saa'at qareeb hai
Din dhal raha hai, shaam-e-museebat qareeb hai
Kuch der ki hai baat, qayaamat qareeb hai
Zainab, ghareeb bhai ki rukhsat qareeb hai
Yeh keh ke maanga Maa ka jo kurta sila hua
Kohraam mach gaya

Kuch door hat ke khaime mein bole Shah-e-Zamaan
Zehmat na ho to baazu barhaao meri behan
Main bose loon wahaan ke bandhegi jahaan rasan
Baazu barha ke roti thi hamsheer-e-khasta-tan
Bhai behan ke baazu ko jab choomne laga
Kohraam mach gaya

Yeh sun ke Bint-e-Fatima Zahra tarap gayi
Boli gala barhaao, bas ab jald ya akhi
Amma ki baat aaj mujhe yaad aa gayi
Main bose loon wahaan ke chalegi jahaan chhuri
Zainab ne barh ke chooma baraadar ka jab gala
Kohraam mach gaya

Beti se phir yeh kehne laga Fatima ka laal
Rehna phuphi ke paas, rakheingi tera khayaal
Ghurbat hai, tum phuphi se na karna koi sawaal
Warna tere padar ko bahut hoga malaal
Phir sar pe haath rakh ke jo dene lage dua
Kohraam mach gaya

Beti ko jab supurd-e-behan kar chuke Imam
Ro kar behan se kehne lage aasmaan-maqaam
Jaana watan jo qaid se chhut kar, aye tishna-kaam
Kehna lahad pe Maa ki mera aakhri salaam
Aaya jo lab pe Fatima Zahra ka tazkira
Kohraam mach gaya

Abid se phir yeh kehne lage Shah-e-Karbala
Bewaaon ka aur yateemon ka ab tum ho aasra
Jo imtehaan mera tha sab maine de diya
Aage tera jihaad hai, beemaar-e-Karbala
Beemaar beta baap se jis dam juda hua
Kohraam mach gaya

Khaime se baahar aaye jo Sultaan-e-Karbala
Sar ko jhukaaye rota tha khud asb-e-ba-wafa
Ab kis tarah sawaar ho Zahra ka laadla
Tanhaai ke siwa koi yaawar nahin bacha
Jab soo-e-nehr dekh ke Ghazi ko di sada
Kohraam mach gaya

Bhai ko tanha dekh ke Zainab tarap gayi
Roti hui Hussain ke nazdeek aa gayi
Aur phir rakaab thaam ke boli aye Shah-e-Deen
Lo main sawaar karti hoon, Abbas gar nahin
Jab woh hua sawaar jo Zahra ka laadla
Kohraam mach gaya

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2011
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Farewell of Imam Hussain on Ashura
Original language
Urdu
Album
Ya Mehdi Ya Mehdi (ajf) — Volume 2011

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.