Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kya Kare Abbas

Mir Hasan Mir

2014Urdu
2014UrduHazrat AbbasMuharram
Kya Kare Abbas is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, commemorating captivity of ahlulbayt and veiling and dignity. Read the Roman lyrics, original Urdu/Shahmukhi script and English translation with repeated refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Lyrics

Kya Kare Abbas Lyrics

WA

Haaye Abbas, haaye Abbas ×8
Rasan mein haath bandhe hain
Behan hai be-parda
Sina se sar na giraaye to kya kare Abbas?
Haaye Abbas, haaye Abbas

Padar ki laash se usko chhuraaya jaata hai
Sitam hai, naaqe pe tanha bithaaya jaata hai
Rasan mein baali Sakina ka bandh raha hai gala
Sina se sar na giraaye to kya kare Abbas?

Woh kis tarah se tasalli de aake maadar ko?
Kiya hai dasht mein do baar zibh Asghar ko
Lahad se aa gaya neze pe jism Asghar ka
Sina se sar na giraaye to kya kare Abbas?

Chhupa ke Bano se munh sharmsaar hoti hai
Woh pusht-e-naaqa pe ab khud sawaar hoti hai
Yeh kaisa waqt hai Zahra ki betiyon pe para
Sina se sar na giraaye to kya kare Abbas?

Dhyaan laash-e-Shabbir se hataana tha
Dobaara Sayyid-e-Sajjad ko bachaana tha
Giri hai naaqe se maqtal mein Saani-e-Zahra
Sina se sar na giraaye to kya kare Abbas?

Kahin pe Qasim-o-Akbar, kahin pe Aun ka sar
Kahin hai laal Ruqaiyya ke aur kahin Asghar
Woh bachche neze pe hain jinko god mein paala
Sina se sar na giraaye to kya kare Abbas?

Hain neel chehre pe, itne tamaache maare hain
Laeen ne kheench ke kaanon se durr utaare hain
Ke dinon kaanon se masoom ke lahu behta
Sina se sar na giraaye to kya kare Abbas?

Sar uska kaise sina par koi utha ke chale
Jo Sheh ke saamne nazrein sada jhuka ke chale
Taqaaza, Mir Takallum, hai uski ghairat ka
Sina se sar na giraaye to kya kare Abbas?

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Hazrat Abbas, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin, Ali Asghar
Occasion
Muharram
Themes
Captivity of Ahlulbayt, Hazrat Abbas, Veiling and dignity
Original language
Urdu
Album
Labbaik Ya Zainab (s.a) — Volume 2014

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.